2020 Honda City Launch Date, Price, Mileage, Colours, First Look

Guys, 2020 Honda City se related aaj aapko yaha 100% details milne wali hai. Honda City 2020 ki Dimension, New Features, Colour options, Mileage, New Engine specs, and Safety Features in sabhi ke bare me aaj me aapkse detail share kar raha hu. Already agar aap Instagram pe join hai to aapke pass almost bahut kuch details to abhi tak aa hi gai hogi. But jo abhi bhi baki hai vo ab pata chal jane wali hai.

To der kis bat ki start karte hai –

2020 Honda City

2020 Honda City Dimensions –

Length – 4549mm +109mm
Width – 1748mm +53mm
Height – 1489mm
Wheelbase – 2600mm

2020 Honda city launch date

2020 honda City Specifications – 

Petrol

Isme aal new 1.5L i-Vtec DOHC Petrol engine aayega Variable Value Timing Control system ke sath jo ki aapko jyada Mileage, kam pollution or bahut hi achi performance offer karne wala hai.

Power – 121ps
Torque – 145nm
Gearbox – New 6 speed manual and 7 steps CVT gearbox diya hai jisme ki “full-open acceleration step up-shift control” and “brake operation
step down-shift control” system hai jisse kam se kam rubber band effect feel ho.

Mileage – Manual me company ne 17.8kmpl or CVT me 18.4kmpl claim kiya hia.

Diesel 

Earthdream series ka 1.5L i-Dtec engine mileage jisme aapko kafi refine performance or sath hi bahut acha mileage milega. Sath hi ye engine BS6 norms ke bad bhi segment me sabse best fuel Efficiency nikal ke data hai.

Power – 100bhp
Torque – 200nm
Gearbox – Isme Honda be surf vahi 6-speed manual transmission offer kiya hai. Jabki iske segment me rivals automatic gearbox ke sath market me pahle se hi available he.

Mileage – Company ne isme 24.1kmpl ka mileage claim kiya he jo ki pahle se kam hua hai BS6 norm ki vajah se.

2020 honda city mileage

2020 Honda City Exterior –

Company be iski dimension ko bada kar ise apne segment me sabse longer or widest car bana diya hai. Or jo naya look Honda City 2020 ko diya hai usse ye choti Civic lagne lagi hai. Ab kuch desgin elements jo change huye hai unki bat kar lete hai.

– Three-box true sedan style
– Solid Wing Face with Chrome Front Grille
– A sharp horizontal character line
– Full LED Headlamps with 9 LED Array Inline Shell
– Z Shaped 3D Wrap-around LED Tail Lamp
– 16-inch Diamond cut alloy wheel design with Shark Gray paint two-tone appearance

2020 Honda City Specification

Honda City 2020 Interior – 

Company ne interior me bhi kai changes kiye hai. Ha ye bat alag hai ki wheelbase same hai but width jaroor badi hai uska feel interior me piche 3 passenger bethenge tabhi pata chalega. Baki kuch highlight aap niche dekh sakte hai.

Supremacy of Luxury – Sophisticated and high-quality dashboard with soft pad ke sath wooden treatment mileaga yahi is bat ka proof ho jata hai ki segment me sabse best dashboard aap feel karne wale hai 2020 City me. Company ne iske blind spot pe kam kara hai use bhi kam kiya hia. Or new Leather seats aapko long journy pe kafi comfort dene wali hai.

Vahi company ne rear AC vent ke flow me bhi sudhar kiye hai rear passenger ke liye sunshades bhi diye gaye hai. Sath hi driver ke liye 7 inch ka TFT display jisme G-Metre bhi diya gaya hai jo ki segment first feature hai. Almost sports car me hi is dekha jata hai. Sath hi interior me storage ke liye kai sari space di gai hai jisme 1L bottle holder se like segment-first sub pocket for mobile jo ki front seats ke rear side me piche bethe passangers ke liye honge.

2020 Honda City me 506L ka boot space diya gaya hai. Or luggage ko loading unloading karna bhi kaafi aasan banaya gaya hai.

2020 Honda City interior

2020 Honda City Segment First Features – 

  • 6 Airbags System – Dual Front i-SRS airbags, Front seat
    i-Side airbags and side curtain airbags
  • Vehicle Stability Assist (VSA) with Agile Handling Assist
  • Seamless Smartphone Connectivity with Android Auto,
    Apple CarPlay and Weblink
  • 17.7 cm HD Full-Colour TFT Meter with Multi-Function
  • Driver Information Interface and G Meter
  •  Seat-back Pockets with Smartphone Sub-Pockets
  •  Steering Mounted Commander Scroll Switch
  • All Auto Power Windows and Sunroof
    Keyless Operation
  • Walkaway Auto-Lock

2020 Honda City new features

All New 2020 Honda City 5th Generation Connected Features – 

New City me Honda ka Next Generation connect and Telematics Control Unit (TCU) system hone wala hai jisme 32 connected features honge or ye india me pahli aesi car hogi jo Alexa remote ke sath aayegi. Jisse aap car se apne ghar ke Alexa enabled devices ko control kar sakte hai and or bhi kai sari iske use hum aapko iske drive review me share karne wale hai.

vehicle position and door lock status from a remote location, auto Crash Notification & amp; Emergency Assistance, Stolen Vehicle, Tracking, Security Alert, Geo-Fence Alert and many more Features

Honda City 2020 Colours –

Premium White Pearl
Radiant Red Metalic
Golden Brown Metalic
Modern Steel Metalic
Lunar Silver Metalic

2020 Honda City connected features

2020 Honda City Launch Date in India – 

India me Company ne Honda City 2020 ko July me launch karna hai. And iski Media drive bas shuru hone hi wali hai jald se jald aapko humare YouTube channel pe iska ek complete review milne wala hai and aap social handle pe bhi connected rah sakte hai aage ki updates ke liye.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram