2020 Kawasaki Z650 BS6 Launched in india

Guys, 2020 Kawasaki Z650 BS6 India me launch kar di gai he. Price Specs Sabhi details out ho chuki he. Aaj in sabhi ke bare me discuss karne wale he. Sath hi janenge is middleweight bike ke bare me jo bhi isme naye features add huye he unke bare me.

2020 Kawasaki Z650 BS6 Price –

Kawasaki apni bike ki price kafi soch samjh kar rakhta he chahe vo jo bhi segment ho yaha bhi Kawasaki ki price kafi achi rakhi gai he. 6.25L – 6.50L Ex-Showroom. Price BS4 version se almost RS 56,000 badi he. And expectation yahi thi ki bike ki price 30k se 50k tak increase hogi. Baki bike me jo features bade he un sabhi se Kawasaki ne customers ko reason de diaya he ise purchase karne ka and price up-gradation ka.

2020 Kawasaki Z650 BS6 price in india

2020 Kawasaki Z650 BS6 –

Kawasaki Z650 middleweight me ek hi naked bike he jo ki kafi sahi price me. Or sath hi competition me sabse best-looking bhi he. Ab bike me new LED headlamp bhi aagaye he. Jiski vajah se iska look bahut hi acha hp gaye he. And sath hi bike ki night drive capability bhi increase hogi. Bike ki chassis ko performance ke liye design kiya gaya he. jisse ki bike ko chalane me maja aaye or sath hi control karna bhi kafi easy ho.

Segment me ye ek aese bike he jo ki koi first bike ke hishab se bhi purchase kar sakta he. Because isme sabhi features kafi neat and clean he and iski driving kafi achi hone se ye fun to ride machine bhi he.

BS6 Kawasaki Z650 Highlights –

1. 649cc parallel-twin engine (Cleaner Emissions)
2. Z “sugomi” styling (consist of a crouching stance, low-positioned head, and upswept tail.)
3. LED Headlamps
4. 4.3” TFT color instrumentation
5. Smartphone connectivity via RIDEOLOGY THE APP
6. Dunlop Sportsmax Roadsport 2 Tyres

2020 Kawasaki Z650 BS6 Specifications –

Engine = 649cc Parallel-Twin  BS6

Power = 67.2 bhp @ 8,000 rpm

Torque = 65.7 Nm @ 6,500 rpm

Gearbox = 6-speed manual

Mileage = 18-20kmpl

2020 Kawasaki Z650 BS6 Breaks –

Front = 300mm disc, Front-4-Piston

Rear =  20mm disc, Single Piston

2020 Kawasaki Z650 BS6 Tyre –

Front = 120/70 ZR17

Rear = 160/60 ZR17

2020 Kawasaki Z650 BS6 Dimension –

Kerb Weight = 186 kg

Overall Length = 2,065 mm

Overall Width = 775 mm

Overall Height = 1,080 mm

Wheelbase = 1,410 mm

Ground Clearance = 130 mm

Seat Height = 785 mm

Chassis Type = Trellis, high tensile steel

2020 Kawasaki Z650 BS6

2020 Kawasaki Z650 BS6 Features List –

SUGOMI STYLINGZ STYLING

Parallel-Twin Engine Tuned for Low-Mid Range Power & Torque

EASY MANOEUVRABILITY

LED Headlamp

LED Tail Lamp

TFT Colour Dispaly

Bluetooth Connectivity Via Rideology app

Dunlop Sportmax roadsport 2 tyre

A2  category 32W kit (Option)

Pillion comfort

Ye Sabhi Features aapko milenge new 2020 kawasaki z650 bs6 me jo ki apne aap me kafi acha update he bike me. Vese bhi jis price me company bike ko sell karti he isme abhi bhi kuch kamiya he. Jinhe aap humare youtube review me dekh sakte he. Sath hi bike ke connectivity ka features LED light setup kafi important update he. Or abhi bhi isme USD foks aana baki he.

So guys Ye he New 2020 Kawasaki Z650 BS6 i hope aap logo ko sabhi details achi lagi hogi. And kam ki sabhi details mil bhi gai hogi. Bahut hi jald iska review ki aane wala he updated version ka. Jo aap Youtube channel pe dekh sakte ho sath hi koi doubt ho to niche comment karke puchlo.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.Instagram