2020 Mahindra Alturas G4 BS6 Price, Mileage, Image

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 – India me Alturas G4 direct rival hai Fortuner BS6, Endeavour BS6, Isuzu MU-X Or ab official teaser bhi reveal kar diya gaya hai ki Alturas G4 BS6 aa rahi hai. Mahindra ne almost apne sabhi vehicles ko BS6 update de hi diya hai. And ab bari hai flagship SUV ki.

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 –

Alturas G4 BS6 me Engine update hone ke alawa koi changes nahi kiye jayenge. Same vahi 2.2L four-cylinder diesel engine aayenga jo ki produce karta hai 80bhp ki power or deta hai 420nm ka torque. Sath hi gearbox me sirf ek hi Mercedes Sourced Automatic 7 speed gearbox ka option hai.

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 Price –

2018 November me Mahindra ne Alturas ko launch kiya tha or abhi iski price 2wd variant ki 27.7L or 4wd variant ki 30.7L hai. BS6 update ke bad price 25-50K increase ho sakti hai (Expected).

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 gearbox

Mahindra Alturas G4 BS6 Expected Changes –

Abhi tak sirf yahi pata hai ki engine me update hoga baki koi changes nahi kiye jayenge. But Chuki ye ek flagship vehicle hai Mahindra ka to isme shayad kuch update kiye ja sakte hai jese ki Dual-tone newly designed alloy wheels, Bigger front grill, Revised bumper.

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 new features

Alturas G4 BS6 Features –

New Alturas G4 BS6 me features almost similar hi milne wale hai jese ki 8 inch touch screen infotainment system, Android auto, Apple car play, Electric adjustable driver seat with memory function, Dual-zone climate control, Electric Sunroof, Ventilated seats, Powered tailgate.

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 camera

Mahindra Alturas G4 Safety Features –

  • 360-degree camera
  • 9 Airbag
  • ABS with EBD
  • Rear parking sensor
  • Reverse parking camera with dynamic guideline
  • Electronic stability program
  • Active rollover protection
  • Traction control system
  • Hill-start control
  • Hill descent control
  • Brake assist system

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 modes

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 Mileage –

Kitna deti hai? Ye question puchna janm sidh adhikar hai har ek Indian ka jo gadi purchase kar raha hai. Jesa ki aap sabhi ko pata hai mileage koi bhi ek figure may nahi bata sakta because of ye har kisi ke liye alg alag hota hai. Aap konsi terrain pe chala rahe ho, Aapki driving habits kese hai, Gadi ke tyre pressure kitna hai. Or jaha chala rahe hai vaha ka temperature bhi mattre karta hai.

Phir bhi in sab bato ko side me rakh kar koi bolde ki itna deti hai to satisfaction mil jata hai (Smile). To city condition me aapko isse 7-9kmpl ka mileage mileaga or highway pe 12-14kmpl tak mileage mil jayega.

Jo ki is size ki suv ke liye acha hai. And ha agar aap continue economy speed pe chalate hai to aap around 15kmpl bhi aaram se isse nikal sakte hai.

2020 Mahindra Alturas G4 BS6 headlight

BS6 Mahindra Alturas G4 Driving –

Jab aapko budget hota hai 30-40 Lakhs to aapko Ford Endeavor, Toyota Fortuner dono mai confusion hota hai ki konsi le. But Alturas launch hone ke bad customer ek bar ise bhi dekhne jata hi hai. But jab humne ise chalai thi no doubt iski ride quality kafi achi hai or chalane me kafi maja aata hai. Aap is gadi ko lekar long trip pe jaye ya hilli roads pe leke jaye sabhi jagah drive enjoy karenge. Ha suspension thode softer side me hai.

Baki jab itni badi SUV le hi rahe hai to aap kharab rasto pe jate honge ya aapko ahca lagta hoga. Offroad drive karna vaha bhi ye kafi ache se obstacle ko par karke nikal jati hai. Approach and departure angle or acha ho sakta tha. Jo ki iske rivals me acha mil jata hai. Baki overall Mahindra Alturas jis price me offer ki ja rahi hai. Kafi achi hai or li ja sakti hai.

 


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare. Instagram