2020 Skoda Rapid Automatic Drive Review

2020 Skoda Rapid Automatic Drive Review – Guys 2020 Rapid Automatic Ko Indian market me launch kar diya gaya hai Torque Converter gearbox ke sath me. And aaj isi pe bat karenge ki ye chalane me kesi hai. Or Kya ye ek acha option hai price point ke according? To start pricing se hi karte hai.

2020 Skoda Rapid Automatic Drive Review

2020 Skoda Rapid Automatic price – 

Rider Plus Automatic Transmission = ₹ 09,49,000

Ambition Automatic Transmission = ₹ 11,29,000

Onyx Automatic Transmission = ₹ 11,49,000

Style Automatic Transmission = ₹ 12,99,000

Monte Carlo Automatic Transmission = ₹ 13,29,000

2020 Skoda Rapid Automatic Drive Feel –

Skoda Rapid 1.0L TSI engine me company ne 6 speed torque converter gearbox lagaya hai. Pahle skoda me MPI engines me DSG gearbox aate the. To kahi na kahi gadi start karte huye ek bar vo feel aati hai ki kya isme maja aayega ya nahi.

Mene city se chalana start kiya and gearshift itne smoothly ho rahe the ki city me ya normal speed pe aapko pata hi nahi chalega ki kab upshift ya downshift hua hai. Vahi 50-60km’s bad mujhe thoda strech mila jaha mene almost ise kai bar 3 digits pe cruise kiya and vaha mene DSG gearbox miss kiya because these is torque converter unit and isme aapko high revs pe shifting feel hoti hai.

Jab aap ise S mode me shift kardete hai tab 3000rpm ke aas-pass gear shift hote hai or kafi achi performance aapko isse milti hai. And aap 1.0L TSI engine ki power ko fell kar pate hai. But kai bar highway pe mujhe laga ki manual gearbox ki bat alag hai to isme mujhe uska bhi option milta hai. Mene isko D mode pe dalke manual mai shift kiya or now i can do a redline all the way upto 6000rpm. YES:) now smile come on my face.

Skoda Rapid Automatic Drive Conclusion – 

Rapid aapko leni hai and most of the case me aapki gadi city traffic me hi chalegi to aapko iska Torque Convertor Automatic Version purchase karna chahiye otherwise Manual 6 speed ki bat hi alag hai. Vahi company is gearbox ke sath 16.24kmpl ka mileage bhi claim karti hai. But in real condition Rapid Automatic se city me 10-12 and highway pe 14-15kmpl ka mileage nikala ja sakta hai.

Vo bat alag hai ki aap constant ek hi-speed pe chal rahe ho. Tab aapko claimed fuel efficiency se bhi jyda mileage nikala ja sakta hai.

2020 Rapid Automatic Drive Review

Rapid Automatic 2020 Pros and Cons – 

Sabse pahle pros ki bat karte hai. Rapid ki build quality bahut achi hai or ye aapko bethte se feel hone lagti hai. VW group ki build quality to world-famous hai par ye feel hona apne aap me ek alag experience hai. Vahi iska engine chalane me kaafi acha hai. Or ab to dono Manula and automatic gearbox ke option isme diye huye hai. Seating iski aage ki seat ki kaafi achi hai. or last but not least iska look itne sal bad bhi bahut hi acha lagta hai. Ha looks subjective hai but mene mera opinion aapse share kiya hai.

Ab bat karte hai cons ki to isme aapko koi fancy features nahi milte jo ki aapko iske rivals offer kar rahe hai. Sath hi top variant ki price kafi jyada hai. To basic variant hi vfm nikal kar aate hai. Isme aapko diesel engine ka option nahi milta hai. Or rear hump bahut hi jyada bada hone se isme 4 log hi comfortable beth pate hai. Or dashboard and centre console ki design kaafi old si lagti hai ab usme design update ki requirement hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram