2020 Suzuki Access 125 BS6 Launch in india

Guys, 2020 Suzuki Access 125 BS6 ko India me unveil kar diya he. And Bs6 Suzuki Access 125 me jo bhi Update hua he. Jo naye features aaye he unn sabhi ke bare me aaj bat karenge i hope aap shab khus honge. And new BS6 Access ke bare me janne ke ichukk honge.

To 2020 Access me company ne sirf kam ke update kare he. Jo Access me requirements thi unko pura kiya he customers ko dhyan rakh ke. But apan Indians ko kuch complimentary mil jaye to hi maja aata he and vo yaha miss he. To chaliye jante he ki Access 125 BS6 me kya miss he and kya company ne badaya he.

2020 Suzuki Access 125 BS6

2020 Suzuki Access 125 BS6

2020 Access 125 me major update jo hua he vo hua he BS6 ka ab ye scooter BS6 complaint he. Isme naye features jo add huye he jo ki external fuel filling, LED headlight, Eco mode on the instrument cluster. Ab sirf ye dekhna baki rah gaya he ki isme fully digital ya semi digital instrument cluster aata he.

Sath hi Access 125 ko apni comfortable seat ke liye jana jata he. And Scooter me ab or badi seat, Floorboard and under seat storage milega. Sath hi easy start system or Special Edition ke sath me standard USB DC socket milega.

2020 Suzuki Access 125 BS6 Specifications –

Engine = 125cc Air Cooled Fuel Injected

Power = 8.7bhp @ 6750 rpm

Torque = 10nm @ 5500rpm

Gearbox = CVT

Mileage = 40-45kmpl (Average, City & Highway)

2020 Suzuki Access 125 BS6 Dimension –

Overall Length 1,870 mm
Overall Width 655 mm
Overall Height 1,160 mm
Wheel Base 1,265 mm
Ground Clearance 160 mm
Seat Height 773 mm
Kerb Mass 101 kg
Wheels Steel/Alloy
Fuel Tank Capacity 5.6 L

2020 Suzuki Access 125 BS6 new features

Access 125 BS6 Tyre Size –

Front 90/90 – 12 – Tubeless
Rear 90/100 – 10 – Tubeless

BS6 Access 125 Price – 

Yet to be revealed (in January 2020)

2020 Suzuki Access 125cc BS6 Seating –

Iski seating kafi achi he. Koi problem nahi hai long-distance travel karne me bhi. Or city me chalne me bhi. As a pillion mujhe ye scooter kafi acha laga piche bethne me bhi aapko vahi power ki feel aati he jo aapko aage feel hoti he. Suzuki access me aapko side ke foot peg bhi vahi milte he jaha ek proper posture me aap beth sake. To overall iski seating kafi achi he. Sath hi suspension setup bad and good roads pe ache se kam kar jata he jisse ki aapko bilkul bhi pareshani nahi hoti bethne ko lekar.

2020 Suzuki Access 125 BS6 Build Quality –

Access 125 ki Body fiber ki he. Jo girne par damage ho sakti he. Sath hi ye fiber ka hone se kafi lightweight bhi he. Jisse ki mileage bhi thoda acha mil jata he. instrument cluster ke aas-pass jo black colour ka material he vo din pe din dull hote jata he or jitna dhoop me rahti he gadi utna jyada fed hota jata he. To jitna ho sake use bacha ke rakhe jyada soap ka use na kre use dhone ke liye. Baki overall aapko ek premium feel milti he Access 125 pe bethne ki jo ki isko 125cc segment me best selling scooter banata he.

Access 125 BS6 Variants –

Isme basic ek to drum brake wala lower variant aata he jo ki value for money option he. Uske bad isme disc ke sath alloy wheel wala variant aayega  jo ki iska look enhance kar deta he or braking bhi achi kar deta he. And last isme special editi0n me alg alg colour option aate he jisme floorboard ke aas-pass ka area or seat cover different colour ke hote he. Or ek special edition ki badging bhi hoti he. Or in sabhi ki price me 1,500 se 3,500 tak ka difference hota he.

2020 Suzuki Access 125 BS6 variant

BS6 Access 125 Pros and Cons –

(Coming Soon)


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.Instagram