2021 Ducati Monster unveiled All Details – Ducati ne kuch dino pehle ek teaser release kiya jahan woh apni Moster ke launch ka hint de rahe the. Finally, 2021 Ducati Monster ko officially unveil kar diya gaya hai.
2021 Ducati Monster unveiled All Details
2021 Ducati Monster replace karegi Monster 821 ko. Ducati ne iss bike me kafi saare updates kiye hai. Ducati ne iss bike pe se old trellis frame hata kar new Panigale V4 inspired aluminium frame use kiya hai jo 4.5 Kgs lighter hai. Saath he Ducati ne iss bike ko 1.6 kg lighter aluminium swingarm aur 1.7 kg lighter
wheels bhi diya hai.
2021 Ducati Monster Specifications –
Ducati ne iss bike ke engine me bhi changes kiya hai. 2021 Ducati Monster me ab 937cc, Testastretta L-Twin engine milta hai jo produce karta hai 111 BHP at 9250 RPM aur 93 Nm torque at 7750 RPM. Iss bike ke power figures me ek substantial increase dekhne milta hai. Iss naye Ducati Monster me hume anti-slip clutch aur quick shifter standard milta hai.
2021 Ducati Monster Features –
Ducati Monster 2021 me ek naya 4.3 inch TFT screen bhi milta hai jisko Bluetooth se connect kiya jaa sakta hai. Is bike me ride-by-wire throttle, wheelie, traction, and launch control bhi milta hai. Iss bike me 3 riding mode milte hai – Sports, Urban and Touring. 2021 Ducati Monster ab kafi zyada aggressive aur sharp dikhta hai. Ek naya exhaust bhi dekhne mil jata hai. Headlights ko change karke all-LED kar diya hai. Seating position ko bhi change kiya gaya hai.
2021 Ducati Monster Expected Launch Date –
Iss bike ko international market me jald hee dekhne milega aur hum expect karenge ki Ducati iss bike ko India me mid-2021 me lekar aaye.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.