2021 Ford Ecosport Launched with Updated Pricing – Ford Ecosport ne Indian market me apna debut 2012 me kiya tha. Ye car, Indian market me kafi popular ho gayi hai aur Ford ne Ecosport ke 3 lakhs se zyada units sell kiye hao from 2013. 2017 me Ford ne iss car ko minor facelift diya jisse iss car ke styling aur interiors ko update mila. Ford ne aaj 2021 Ford Ecosport ko launch kiya hai jahan iss car ke pricing me significant change dekhne mila hai.
2021 Ford Ecosport Launched with Updated Pricing-
2021 Ford Ecosport-
2021 Ford Ecosport me hume koi major changes ya updates dekhne nahi milta hai. Ford ne ab iss car ke Titanium variant me sunroof ka feature add kari diya hai. Iske alawa hume koi bhi changes nahi milta. Ford Ecosport me hume aggressive looking all-black matt grille, projector headlamps, LED DRLs and sporty alloy wheels dekhne mil jaate hai. Iss car me hume 8 inch touchscreen infotainment with Apple CarPlay and Android Auto, rain sensing wipers, push button start top, reverse parking camera, 6 airbags, ABS with EBD, and electric sunroof jaise fetures dekhne mil jaate hai.
Ford Ecosport Engine-
Ford Ecosport ke engine me koi bhi changes nahi kiya gaya hai. Ye car petrol and diesel engine ke saath offer ki jaati hai. Iss car me hume 1.5-litre, 3 cylinder, Ti-VCT petrol engine dekhne milta hai jo 122 PS power aur 149 Nm torque produce karta hai. Isi ke saath hume 1.5-litre TDCi diesel engine bhi offer kiya jaata hai jo 100 PS power aur 215 Nm torque produce karta hai. Dono hi engines me hume 5 speed manul transmission milta hai. Additionally, petrol engine ke saath 6 speed automatic torque convertor gearbox bhi offer kiya jata hai.
New Ford Ecosport Pricing-
2021 Ford Ecosport ke pricing me hume significant change dekhne mila hai. Surprisingly, iss car ki price increase nahi hui hai, rather decrease hui hai. Ford Ecosport me ab hume upto Rs 35,000 ka price difference dekhne milta hai. Ford Ecosport ko 4 variants me offer kiya jaata hai – Ambiente, Trend, Titanium and Sports. Iss car ki price ab Rs 7.99 lakhs to Rs 11.49 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.