2021 Ford EcoSport SE Variant Launched in India at Rs 10.49 Lakhs – Ford India ne apne popular sub-compact SUV EcoSport me aaj ek new trim launch kiya hai EcoSport SE. Ford EcoSport SE ko previously international market me sell kiya jaata tha aur iss car ki most significant change hai iska rear jahan par hume koi rear-mounted spare wheel nahi milta hai. EcoSport SE ko petrol and diesel engine options ke saath launch kiya hai aur iski pricing Rs 10.49 lakhs and Rs 10.99 lakhs (ex-showroom) hai.
2021 Ford EcoSport SE Variant Launched in India at Rs 10.49 Lakhs-
Ford EcoSport SE Variant Details-
Ford India ne EcoSport ke variants ko expand karte hue, internationally sold SE variant ko India me introduce kiya hai. Iss variant me hume tailgate-mounted spare wheel nahi milta hai aur instead hume company Tyre Repair Kit provide karti hai. Iske alawa hume baki similar features milte hai jo hume EcoSport me offer hote hai jaise:
Dual-Tonne Rear Bumper
16-inch Alloy Wheels
SYNC 3 Infotainment System
Apple CarPlay, Android Auto, Ford Pass
HID Headlamps, DRL
Rain Sensing Wipers
Push Button Start/Stop
Sunroof
Up to 6 Airbags
Ford EcoSport SE Engine Details-
Ford EcoSport SE me hume similar engine milta hai jo hume other EcoSport ke variants me offer hote hai. Iss car me 1.5-litre, 3 cylinder, Ti-VCT petrol engine dekhne milta hai jo 122 PS power aur 149 Nm torque produce karta hai. Isi ke saath hume 1.5-litre TDCi diesel engine bhi offer kiya jaata hai jo 100 PS power aur 215 Nm torque produce karta hai. Dono hi engines me hume 5-speed manual transmission milta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.