2021 Honda Grom Design Patent Filed in India

2021 Honda Grom Design Patent Filed in India – 2016 me Honda ne Navi Scooter ko launch kiya tha jo Honda ki poket-sized Grom 125 se inspired tha. Honda Navi, Indian market me perform nahi kar paya aur isse discontinue kar diya gaya. Honda ne ab India me 2021 Honda Grom ka patent ko file kiya hai.

2021 Honda Grom Design Patent Filed in India-

2021 Honda Grom Patent Images

Image Source – Motorbeam.com

2021 Honda Grom Details-

2021 Honda Grom ek pocket-sized motorcycle hai jisse urban commuting ke liye aim kiya hai. Internationally, Honda ne recently iss motorcycle ko refreshed design ke saath launch kiya. 2021 Honda Grom ka wheelbase 1100mm hai. Iss bike me hume LED headlights, LED taillight and digital instrument cluster dekhne milta hai.

Honda Grom me hume 31mm upside down front forks and rear monoshock dekhne milta hai. Iss bike me hume 220mm front disc and 190mm rear disc dekhne milta hai.

2021 Honda Grom

2021 Honda Grom Engine-

2021 Honda Grom me hume 125cc, air-cooled, single cylinder engine dekhne milta hai jo 9.65 HP and 10.5 Nm torque produce karte hai. Iss engine ko 4 speed transmission milta hai. Honda Grom me hume 12 inch ke alloy wheels bhi dekhne milte hai. Iss bike pe ABS ka option bhi mil jaata hai.

Honda Grom, Asian and European markets me kafi popular motorcycle hai. Honda Two-Wheelers ne iss motorcycle ke patent ko file karke hume hint diya hai ki iss bike ko jald hi India me launch kiya jaa sakta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram