2021 Jeep Compass Spotted Ahead of Launch

2021 Jeep Compass Spotted Ahead of Launch – Jeep ne recently announce kiya tha ki woh apne compact SUV, Jeep Compass ke facelift variant ko th January 2021 ko launch karne wale hai. Jeep ne apne official website pe all-new Jeep Compass ke teaser images bhi share kiye. Recently, hume Jeep Compass facelift ke spy shots dekhne mile jisme ye car ko humne green colour me spot kiya.

2021 Jeep Compass Spotted Ahead of Launch-

2021 Jeep Compass Undisguised

Image Credit- Shifting-Gears

All-new Jeep Compass Design (Looks)-

2021 Jeep Compass ke exterior me hume changes dekhne milte hai. Iss car ke headlamp ko tweak kiya gaya hai inka design ab sharper hai. Headlamps pe hume integrated LED DRLs bhi dekhne mil jaate hai. Iss car ke 7 slat grille pe hume honeycomb mesh ka pattern dekhne milta hai. Iss car me hume revised bumper, new faux skid plates aur newly designed alloy wheels bhi dekhne mil jaate hai.

2021 Jeep Compass Teased

2021 Jeep Compass Interior-

2021 Jeep Compass ke interior me bhi hume changes dekhne mil jaate hai. Iss car me ab new 10.1 inch floating touchscreen infotainment system dekhne mil jaata hai jo wireless Apple Carplay aur Android Auto ko support karta hai. Saath hi hume digital instrument cluster, sleeker ac vents aur panoramic sunroof jaise features bhi dekhne mil jaate hai.

2021 Jeep Compass Interior

Jeep Compass Engine-

2021 Jeep Compass me hume same engine dekhne milega jo humne previous model me dekha tha. Iss car  me hume 2.0-litre diesel engine mil jaata  hai jo 173 PS power aur 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission mil jaata hai. Diesel engine ke alawa iss car me hume 1.4-litre turbocharged petrol engine bhi mil jaata hai jo 163 PS power aut 250 Nm torque produce karta hai. Iss enignem hume 6 speed manual aur 7 speed DCT gearbox mil jaata hai.

Jeep Compass me facelift ke update ke baad hum iss car ke prices me hike expect kar sakte hai. Ye car Indian market me Hyundai Tuscon, Skoda Karoq, MG Hector aur Tata Harrier ke saath compete karti hai.