2021 Kawasaki Ninja 300 Officially Revealed – Kuch dino pehle Kawasaki ne teaser image share kiya tha jahan pe unhone bola ki woh upcoming days me two motorcycles ko launch karne wale hai. Lately, Kawasaki apne motorcycles ko BS6 engine ke saath update kar raha hai aur humne speculate kiya ki one of the motorcycles, Ninja 300 ho sakti hai. Kawasaki ne ab officially 2021 Kawasaki Ninja 300 ko unveil kar diya.
2021 Kawasaki Ninja 300 Officially Revealed-
2021 Kawasaki Ninja 300 Details-
2021 Kawasaki Ninja 300 me major change iss bike ke new paint scheme and body graphics me dekhne milta hai. Kawasaki ne ab iss bike me new Green and Black colour add kiya hai with updated graphics. Iske alawa hume iss bike me koi bhi changes nahi dekhne milta hai. 2018 me Kawasaki ne Ninja 300 ko locally assemble karna shuru kiya. Kawasaki ne body panels, brakes, cables, tyres and headlights jaise components ko localised kar diya. Parts ke localization ke wajah se iss bike ke price ko significantly reduce kar diya aur iss segment me competition aur bhi badh gaya. Ab Kawasaki plan kar raha hai ki woh Ninja 300 ko further localise karne ke liye engine ko bhi locally assemble karna shuru kar de jisse iss bike ke price further reduce kiya jaa sakta hai.
2021 Kawasaki Ninja 300 Engine-
Kawasaki Ninja 300 me hume BS6 compliant 296c, parallel twin, liquid cooled engine dekhne milta hai jo 39PS power aur 27 Nm torque generate karti thi. Iss engine ko 6 speed gearbox milta hai. BS6 ke upgrade ke baad hume pricing me slight changes dekhne milt sakta hai.
Ninja 300 compete karegi with KTM RC390 and TVS Apache RR310. Kawasaki ne announce kiya ki Ninja 300 ke saath woh ek aur bike ko launch karega. Dekhne ki baat hogi kya who entry level Versys X 3000 toh nahi.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.