2021 Kia Seltos With Panoramic Sunroof to Launch in April – Kia Motors ne Indian market ko apni Seltos SUV ke saath enter kiya tha in August 2019. Seltos ne compact SUV segment ke under kafi accha perform kiya hai and every month iss car ke sales numbers bhi impressive hai. Last year, hume Seltos me minor changes dekhne mile in order to keep this car updated with the competitors. Kia Motors ne kuch months pehle apne new logo ko reveal kiya tha jisse ab tak India me dekha nahi gaya. Kia Motors ne announce kiya hai woh 27th April 2021 ko special announcement karne wale hai aur hum expect karte hai ki ye announcement new Kia Seltos ki ho with new brand logo and a panoramic sunroof.
2021 Kia Seltos With Panoramic Sunroof to Launch in April-
2021 Kia Seltos Expected Changes and Other Details-
Kia Seltos, Kia Motors ki one of the most successfully selling SUV vehicle hai jisse 2019 me introduce kiya gaya tha. Ye vehicle, Hyundai Creta par based hai jissne Indian Compact SUV segment ko kafi years se dominate kiya hai. 2020 me, Kia Seltos me hume minor updates bhi dekhne mila tha. Indian market me compact SUV segment ki demand day by day increase ho rahi hai aur isse competitors bhi iss segment me apne vehicles ko introduce kar rahe hai. Recently, Skoda ne Kushaq ko unveil kiya jo Creta and Seltos ko tough competition de sakta hai.
Iss segment ke har vehicles me hume panoramic sunroof ka feature dekhne milta hai jo Kia Seltos me missing hai. Saath hi, Kia ne unofficially kaha hai ki woh apna new logo Seltos me first layega and later on other vehicles. Kia ne ab 27th April 2021 ko ek special announcement plan kiya hai jahan hum expect karte hai woh apne new logo ko 2021 Kia Seltos me introduce kare. Saath hi, hum expect karte hai ki Seltos me ab hume small electric sunroof ke jagah par panoramic sunroof dekhne mile.
2021 Kia Seltos Engine-
2021 Kia Seltos ke engine me hume koi bhi changes nahi dekhne milega. Iss car me same three engine options offer kiye jayenge jo previous model me offer hote the – 1.5-litre NA petrol, 1.4-litre GDi turbo petrol and 1.5-litre CRDi diesel engine. Transmission ki baat kare toh hume 6 speed manual, 6 speed torque convertor and 7 speed DCT gearbox offer hote hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.