2021 KTM RC 390 Spied Testing – KTM ne RC 390 ko Indian market me 2014 me introduce kiya tha. KTM as brand hee jald popular ho gaya tha. RC 390 bhi kafi acche number me sell hua and youth and college-going audience ne iss bike ko kafi pasand kiya. Nearly 7-year ke baad, hume KTM RC 390 me significant cosmetic changes dikhne wale hai. 2021 KTM RC 390 ko kafi time se test kiya jaa raha hai aur aane wale months me isse unveil kiya jaayega.
2021 KTM RC 390 Spied Testing-
2021 KTM RC 390 Details-
2021 KTM RC 390 ko Europe me continuously test kiya jaa raha hai. Iss bike ke spy shots hume kai baar dekhne mile jahan iss bike ko heavy camouflage me cover kiya gaya tha. Recently, hume 2021 RC 390 ke new set of spy images dekhne mile hai jahan iss bike ko without any camouflage spot kiya gaya hai.
2021 KTM RC 390 ke milne wala major updates iss bike ka new refreshed look hai. Iss bike me ab hume all-LED headlamp dekhne mil sakta hai jo Duke and Adv 390 se kafi similar hai. Turn indicators ko bhi fairing par place kiya gaya hai aur rear-view mirrors bhi redesigned hai. Iss bike pe hume new clip-on handlebar, redesigned fairing and new TFT digital instrument cluster dekhne mil sakta hai jo humne previously Duke and ADV 390 me dekha tha. Iss bike rear, older model se kafi similar hai.
2021 KTM RC 390 Engine-
2021 KTM RC 390 me hume same old 373cc, liquid-cooled, single-cylinder engine dekhne milega jo 44 PS power and 37 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 6 speed gearbox ke saath combine kiya jaayega. 2021 RC 390 me hume ab new two-piece trellis frame and redesigned alloy wheels bhi dekhne mil sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.