2021 Mahindra Scorpio Spied on Test

2021 Mahindra Scorpio Spied on Test – Mahindra & Mahindra apni SUV lineup ko strengthen kar raha hai. Initially, Mahindra ne 2020 me two SUVs ko launch karne ka plan kiya tha. Iss pandemic ke challte, Indian Auto Industry ek standstill pe aa gaya tha aur ab recover kar raha hai. Mahindra ne October 2020 me all-new Thar ko launch kiya, jispe unko kafi accha customer response mila. Early 2021 me Mahindra, much awaited next-gen XUV 500 ko launch karega aur mid-June tak, iconic 2021 Scorpio ko launch karega. Recently hume new Mahindra Scorpio ke near-production variant ke spy shots dekhne mile hai.

2021 Mahindra Scorpio Spied on Test-

2021 Mahindra Scorpio Spotted

Image Source – GaadiWaadi.com

Mahindra Scorpio Facelift Exterior-

Mahindra Scorpio ek iconic car hai Mahindra ki. Ye car apni boxy profile ke liye jaani jaati hai. 2021 Mahindra Scorpio me hume ye same boxy profile dekhne milega. Iss car me all-new front grille with signature five-slot design, all new LED headlamps with LED DRLs, larger front bumper, longer hood and more inclined windscreen jaise updates dekhne mil sakte hai. 2021 Mahindra Scorpio based hogi heavily modified ladder-frame chasis jisse new Thar me bhi use kiya hai. Iss car ko higher stance milegi as compared to new-gen XUV 500. Jo car roads pe spot hui hai, usme hume steel wheels dekhne milte hai.

 

2021 Mahindra Scorpio Rear

Image Source – GaadiWaadi.com

2021 Mahindra Scorpio Interior-

Interior ki baat kare toh, jo car spot hui thi hume usme dark brown and black scheme ke interior dekhne mile. Iss car me hume koi bhi infotainment system nahi dekhne mila aur multi-coloured speedometer dekhne mila. Saath hi iss car me hume sunroof ke liye housing dekhne mila, jo indicate karti hai ki higher variants me sunroof bhi offer kiya jaa sakta hai. Iss car me hume koi 3rd row seats nahi dekhne mila, par hum expect karte hai ki production model 7-seater ho.

All-new Mahindra Scorpio Engine-

Reports ke according, iss car me  hume 2.0-litre turbocharged diesel aur 2.0-litre turbo charged petrol engine dekhne mil sakta hai. Diesel engine 158 HP produce karegi aur petrol engine 150 HP and 320 Nm torque produce karegi. Dono hi engine me 6 speed manual aur 6 speed torque convertor gearbox dekhne mil sakta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram