2021 Mahindra TUV300 to be launched as Bolero Neo in India – 2021 Mahindra ke liye ek important year hone wala hai. Iss year me Mahindra apne fleet ko update karne wala hai. 2020 me Mahindra ne all-new Thar ko launch kiya jo kafi successful rahi hai. 2021 me Mahindra next-gen XUV500 and all-new Scorpio SUVs ko launch karne wala hai.
2015 me Mahindra ne TUV300 SUV ko launch kiya tha. Ye car ek sub-4 meter SUV thi. 2018 me TUV300 Plus ko launch kiya gaya jo over 4 meters thi and 3rd row swating offer karti thi. TUV series ki vehicles kuch khas perform nahi kar payi aur inn vehicles ko April 2020 se discontinue kar diya gaya. Hume 2021 Mahindra TUV300 ke spy images dekhne mile hai aur iss car ko new BS6 engine ke saath test kiya jaa raha tha. Kuch dino pehle hee hume spy images se pata chala ki 2021 TUV300 ko Bolero Neo ka nameplate diya jaa sakta hai.
2021 Mahindra TUV300 to be launched as Bolero Neo in India-
2021 Mahindra TUV300 to Bolero Neo-
Hume, report mili thi ki Mahindra 2021 me Bolero Neo ko launch karne wala hai. Humne ye speculate kiya tha ki ye vehicle Bolero ki next-gen model ho sakti hai jisme hume cosmetic changes and additional features dekhne mil sakta hai. Inn sab speculation ko wrong prove karte hue, hume 2021 TUV300 ke spy images dekhne mile jahan iss car ko TVC shoot ke time spot kiya aur iss car me hume clearly Bolero Neo ka badging dekhne mila.
Bolero Neo me hume new front chrome grille, sleeker headlamps, faux skid plate, honeycomb pattern air dam, vertically stacked LED tail lamps, squared wheel arches, etc. dekhne milte hai. Iss car me hume same upright stance, tall pillars and squared body dekhne milta hai jo hume older TUV 300 me dekhne milta tha.
Image Source – Motorbeam.com
Mahindra Bolero Neo Fate in Indian Market-
Mahindra Bolero ek popular vehicle in the rural market. Aaj bhi Mahindra Bolero ke monthly sales numbers kafi impressive hai jo iss car ke popularity ko batate hai in rural market. Bolero Neo ke launch ke baad hum expect karte hai ki ye vehicle new nameplate ke saath apne sales number ko improve kar paye aur consumers ko attract kare.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.