2021 Maruti Suzuki Celerio – Top 5 Changes – Maruti Suzuki Celerio, Maruti Suzuki ki Indian market ki popular hatchback vehicle hai. Celerio ko A:Wind concept pe build kiya gaya hai jisse 2013 Thailand International Motor Show me showcase kiya gaya. Maruti Suzuki Celerio ke production variant ka debut 2014 Auto Expo me kiya gaya aur iss car ka ko launch kiya gaya.
Nearly 7 years ke baad, Maruti Suzuki ne Celerio ko upgrade karne ka plan kiya hai aur iss car ko humne Indian roads par test kartte hue spot kiya hai. Aaj hum iss car me milne wale Top 5 Changes ki baat karenge.
2021 Maruti Suzuki Celerio – Top 5 Changes-
New Platform-
2021 Maruti Suzuki Celerio me hume new platform dekhne mil sakta hai. Iss car me hum Maruti Suzuki ki HEARTECT platform ko dekh sakte hai. Iss platform par pehli bhi Maruti Suzuki ki kuch vehicle ko build kiya hai jaise, S-Presso, Baleno, Ignis, Swift, Dzire and Ertiga.
New Design-
2021 Maruti Suzuki Celerio ke size me hume increase dekhne mil sakta hai. Size me increase hone se, iss car ka cabin ab aur bhi spacious hoga. 2021 Celerio me hume new and updated design dekhne milta hai jo previous model se better hoga. Iss car me hume new headlamp, new grille and redesigned rear dekhne mil sakta hai.
Updated Engine-
2021 Maruti Suzuki Celerio me hume updated engine dekhne mil sakta hai. Currently, Celerio me hume 1.0-litre, three cylinder K10B naturally aspired petrol engine offer hota hai. 2021 Celerio me hume, Maruti ki 1.2-litre four cylinder petrol engine bhi offer ho sakti hai.
Additional Features-
Currently Maruti Suzuki Celerio me kafi limited features offer kiye jaate hai jo slowly outdated ho rahe hai. Celerio me hume bluetooth entertainment system, steering-mounted audio controls, seat height-adjust for driver, electrically adjustable ORVMs, power windows and manual AC jaise features offer kiye jaate. 2021 Maruti Suzuki Celerio me hume touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto, Maruti Smartplay Studio, etc. jaise latest technological features offer kiye jaa sakte hai.
Increased Pricing-
Currently, Celerio ko Indian market me Rs 4.41 – 5.68 lakhs (ex-showroom) ke price saath offer kiya jaata hai. Inn sab updates ke baad hum expect karte hai ki Maruti, iss car ke price me significant increase kare. 2021 Maruti Suzuki Celerio ki pricing Rs 5 to 7 lakhs ho sakti hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.