2021 Maruti Suzuki Swift Launched in India at Rs 5.73 Lakhs – Maruti Swift, Indian market ki most selling vehicles me se ek hai. 2020 me Swift ne most-selling vehicle ka record bhi achieve kiya tha. 2020 ke end me Suzuki ne Swift ke facelift model ko UK me launch kiya tha. Iss car ko Indian roads par kai baar spot kiya gaya tha. Aaj, Maruti Suzuki ne Indian market me 2021 Swift ko launch kar diya hai.
2021 Maruti Suzuki Swift Launched in India at Rs 5.73 Lakhs-
2021 Maruti Suzuki Swift Changes-
2021 Swift me hume new cross mesh grille and chrome trim piece dekhne milta hai jo iss car ko ek fresh look deta hai. Iske alawa hume Swift me projector headlamps, LED DRLs, and same rear look dekhne milta hai jo hume previous model me dekhne milta tha. 2021 Swift me hume same 4 inch TFT display, 7-inch touchscreen infotainment system with connected tech, cruise control, steering mounted controls, etc. jaise features dekhne mil jaate hai.
2021 Maruti Suzuki Swift Engine-
2021 Maruti Swift me hume major change dekhne milta hai who hai iss car ka new engine. Swift me ab 1.2-litre, 4 cylinder, K12N dualjet petrol engine dekhne milta hai jo 90 HP power and 113 Nm torque produce karti hai. Iss engine me idle start-stop technology bhi milta hai jo iss car ke fuel efficiency ko improve karta hai. Iss engine ko previously Swift Dzire me use kiya hai.
2021 Maruti Suzuki Swift Pricing Details-
Variant | Price |
LXI Manual | Rs 5.73 Lakhs |
VXI Manual | Rs 6.36 Lakhs |
VXI AGS | RS 6.86 Lakhs |
ZXI Manual | Rs 6.99 Lakhs |
ZXI AGS | Rs 7.49 Lakhs |
ZXI+ Manual | Rs 7.77 Lakhs |
ZXI+ Dual Tone Manual | Rs 7.91 Lakhs |
ZXI+ AGS | Rs 8.27 Lakhs |
ZXI+ Dual Tone AGS | Rs 8.41 Lakhs |
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.