2021 MG Hector Facelift Spotted at Dealership

2021 MG Hector Facelift Spotted at Dealership – MG Hector ko Indian market me launch hue 18 months ho gaye hai aur MG ne decide kar diya hai ki woh iss car ko ab facelift update dene wala hai. Earlier humne 2021 MG Hector Facelift ko TVC shooting ke time spot kiya tha. Ab hume, 2021 MG Hector facelift ke undisguised images dekhne mile hai jahan ye car already dealerships pe aane laga hai. Iss car ka launch hum jald hee expect kar sakte hai.

2021 MG Hector Facelift Spotted at Dealership-

2021 MG Hector Facelift

Image Source – Rushlane

2021 MG Hector Facelift Exterior-

MG Hector facelift me hume new grille dekhne milta hai with diamond inserts, aur centre me signature MG logo. Saath hi hume redesigned bumper bhi dekhne mil jata. Headlamps ke design aur position me koi bhi changes nahi hai. Iss car me hume new 18 inch dual tonne alloy wheels bhi dekhne milta hai jiska size, previous model se larger hai. Rear me hume slightly redesigned tail lights dekhne mil jaata hai.

MG Hector Facelift Spotted

Image Source – Rushlane 

MG Hector Facelift Interior-

MG Hector facelift ke interiors me zyada changes nahi milta hai. Interiors ab hume beige and black finish me dekhne milte hai. Dashboard me ab soft-touch leather material ka use bhi kiya gaya hai. Iske alawa hume air koi changes dekhne nahi milte. Iss facelift model me large infotainment system, ambient mood lighting, powered tailgate aur panoramic sunroof jaise features ko previous gen-model se carry on kiya jayega.

2021 MG Hector Facelift Rear

Image Credit- Rushlane

MG Hector Facelift Engine-

MG Hector Facelift ke engine me koi bhi changes nahi dekhne milega. Iss car me hume 3 engine options dekhne milta hai- 1.5-litre turbocharged petrol, 1.5-litre petrol hybrid, and 2.0-litre turbocharged diesel. 1.5-litre turbocharged petrol aur petrol hybrid engine 141 HP aur 250 Nm torque produce karte hai. Iss engine me 6 speed manual transmission aur DCT gearbox mil jaata hai. 2.0-litre turbocharged diesel engine 141 HP aur 350 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 6 speed manual transmission milta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram