2021 MG Hector Facelift Launched at Rs 12.89 lakhs

2021 MG Hector Facelift Launched at Rs 12.89 lakhs – MG ne finally all-new 2021 MG Hector SUV ko Indian market me launch kar diya hai. 2021 MG Hector ke saath, MG ne Hector Plus me 7-seater variant bhi introduce kiya hai. MG Hector ke lineup me ab hume 5,6,7 seater ka options mil jaata hai.

2021 MG Hector Facelift launched at Rs 12.89 lakhs-

All-new 2021 MG Hector

All-new 2021 MG Hector Facelift Details-

2021 MG Hector me hume front me new thermopressed front chrome grille dekhne milta hai jo iss car ko ek bold look deta hai. MG Hector me ab hume 18-inch diamond cut alloy wheels bhi dekhne mil jaate hai.

Iss car me ab ventilated seats, wireless charging, auto-dimming interior rear-view mirror jaise features ko bhi add kar diya gaya hai. MG Hector me ab hume champagne and black dual tonne interior ka option bhi dekhne mil jaata hai.

Iss car ke i-SMART feature ko update kiya gaya hai aur isse Hinglish Voice commands ke saath enable kiya hai. All new MG Hector ki pricing Rs 12.89 lakhs – Rs 18.32 (ex-showroom) hai.

MG Hector Centre Console

MG Hector Plus Updates-

MG Motors ne Hector ke saath saath Hector Plus me bhi few updates diye hai. MG Hector Plus ab 7-seater variant ke saath available hone wala hai. Aane wale time me hume manufacturers ko apne vehicles ko 7-seater options ke saath launch karte hue dekh sakte hai.

MG iski tyaari karne ke liye Hector Plus ko 7-seater option ke saath launch kar diya. MG Hector Plus 6,7 –seater variants me ab hume 18 inch diamond cut alloy wheels, front ventilated seates, wireless charging and auto dimming IRVM dekhne milega.

MG Hector Plus 6-seater ki price Rs 15.99 lakhs – Rs 19.12 lakhs (ex-showroom) hai aur 7-seater variant ki price Rs 13.34 lakhs – Rs 18.32 lakhs (ex-showroom) hai.

MG Hector Lineup

New 2021 MG Hector Facelift Engine-

MG Hector ke engine me koi bhi changes nahi dekhne milega. Iss car me hume 3 engine options dekhne milta hai- 1.5-litre turbocharged petrol, 1.5-litre petrol hybrid, and 2.0-litre turbocharged diesel. 1.5-litre turbocharged petrol aur petrol hybrid engine 141 HP aur 250 Nm torque produce karte hai.

Iss engine me 6 speed manual transmission aur DCT gearbox mil jaata hai. 2.0-litre turbocharged diesel engine 170 HP aur 350 Nm torque produce karti hai. Iss engine me 6 speed manual transmission milta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram