2021 MG ZS EV Launched in India at Rs – MG ZS EV, MG Motors ki second offering thi in India after Hector. Iss car ko January 2020 me launch kiya gaya tha. Iss car ne kafi accha response gather kiya tha. MG ne recently Hector ko update kiya aur 2021 MG Hector ko launch kiya tha. Hector ke baad MG ne ZS EV ko bhi mild updates diya hai aur iss car ko aaj launch kar diya hai.
2021 MG ZS EV Launched in India
Price – MG ne ise 2 variant me launch kiya hai. Excite jiski price Rs20,99,800 rakhi gai hai or Exclusive ki price – Rs24,18,000 rakhi gai hai.
What’s New in 2021 MG ZS EV –
1 – Ab isme company 44.5Kw ki HT (Hi-Tech) Battery provide karegi. Jisse ki 419KM ki range claim ki gai hai.
2 – 215/55 – 17 Tyres diye jayenge
3 – 177mm ki ground clearance kar di gai hai.
4 – Eco Tree Challange (in i-Smart EV 2.0)
2021 MG ZS EV Details-
2021 MG ZS EV me hume koi major changes nahi dekhne milta hai. Iss car ke exterior more or less similar hee hai like previous model. ZS EV jo changes hume dekhne milta hao woh sirf interior me hee hai. Iss EV ki dimensions 4314mm x 1809mm x 1620mm hai. Iss EV ka wheelbase 2858mm hai.
2021 ZS EV me hume projector headlamps, LED DRLs, 17 inch alloy wheels, rear spoiler and chrome finished front grille dekhne milta hai. Sath hi car ke interior me hume 8 inch touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto diya gaya hai. Iss infotainment system me hume ab updated i-SMART system milega sath hi HINGLISH voice command jo over 35 HINGLISH command ko respond kar sakta hai. Baki koi changes nahi kiye gaye hai.
2021 MG ZS EV Engine-
2021 MG EV me hume 44.5 kWh (Hi-Tech) battery milta hai jo three-phase permanent magnet synchronous motor ko power supply karta hai. Ye motor, 142.76 PS power and 353 Nm torque generate karta hai. Iss battery ka charge time 6-8 hours hai and full charge par ye EV approx. 419* Kms chal sakti hai.
MG ZS EV me hume 6 airbags, ESP, ABS with EBD, Hill Decent Control, Electric Parking Brake, panoramic sunroof, push-button start/stop, cruise control, auto headlamp, etc. jaise features dekhne mil jaate hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.