2021 MG ZS Petrol Interiors Spied

2021 MG ZS Petrol Interiors Spied – MG Motors ne Indian market me apni entry, Hector mid-size SUV se ki. MG Motors ne kam samay me Indian market kafi accha perform kiya hai. MG Motors ne Indian market me apni second vehicle ko ek electric vehicle ke form me launch kiya tha jot ha MG ZS EV.

2020 AutoExpo me MG ZS ko showcase kiya gaya jisme hume petrol engine dekhne milta hai. MG ZS, International market me kafi popular hai aur MG iss car ko jald hee India me launch karne wala hai. Recently hume iss car ke spy images dekhne mile jo iss car ke exterior and interior ke details reveal karte hai.

2021 MG ZS Petrol Interiors Spied-

2021 MG ZS Petrol Interior Spy Images

Image Source – Rushlane.com

2021 MG ZS Details-

MG ZS ke dimensions aur looks, ZS EV se kafi similar honge. MG ZS me hume honeycomb grille with MG logo in center, angular headlights, sleek front and rear bumper, new alloy wheels, U-shaped LED taillights, roof rails and roof-integrated spoilers dekhne mil sakte hai.

Iss car ka dashboard ZS EV se different hoga. MG ZS me hume all-black theme dashboard dekhne mil sakta hai. Iss car me hume 10 inch ki touchscreen infotainment system bhi dekhne mil sakta hai. Dashboard par hume soft-touch material ka use dekhne milega aur iss car me semi-digital instrument cluster bhi equip ho sakta hai.

MG ZS Petrol

MG ZS Engine-

MG ZS ko internationally three petrol engines ke saath offer kiya jaata hai – 1.0-litre turbocharged petrol jo 111 HP aur 160 Nm torque produce karti hai, 1.5-litre VTi petrol engine jo 118 BHP aur 150 Nm torque produce karti hai aur 1.3-litre turbo petrol jo 161 BHP aur 230 Nm torque produce karti hai. India me kaunsi engine option ke saath MG ZS offer hoga, dekhna interesting hoga.

MG ZS ka launch hum mid-2021 me expect kar sakte hai. Ye car Indian market me compete karegi with Hyundai Creta, Kia Seltos and Nissan Kicks.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram