2021 MG ZS Spied Testing

2021 MG ZS Spied Testing – MG ZS EV, MG ki first EV in India hai. Ye car based hai on MG ZS jisse international market me sell kiya jata hai. Previously, humne report kiya tha ki MG ZS petrol engine ke saath Indian market me 2021 me launch hone wali hai. Hume MG ZS ke spy shots dekhne mile hai, jahan company iss car ko Indian roads par test kar rahi hai.

2021 MG ZS Spied Testing-

MG ZS Petrol Spotted

Image Source – Rushlane

2021 MG ZS-

201 MG ZS ko MG ne 2020 AutoExpo me showcase kiya tha. Currently, MG Motors ZS EV ko Indian market me sell karti hai aur ab tak over 1,000 units sell kar chuki hai. MG ZS me hume only petrol engine dekhne milega. Iss car ki looks ZS EV jaise hee hogi.  Iss car me hume honeycomb grille with MG logo in centre, angular headlights, sleek front and rear bumper, new alloy wheels, U-shaped LED taillights, roof rails and roof integrated spoliers dekhne mil sakte hai. MG ZS EV me hume 10.1 inch ka smart touchscreen infotainment system dekhne milta hai. Hum expect karte hai ki MG iss feature ko ZS me bhi carry kare. MG ZS, MG ke Indian lineup ki most affordable car ho sakti hai aur isse Hector ke below position kiya jayega.

MG ZS Petrol Spy Images

Image Source – GaadiWaadi

MG ZS Petrol Engine-

MG ZS ko internationally three petrol engines ke saath offer kiya jaata hai – 1.0-litre turbocharged petrol jo 111 HP aur 160 Nm torque produce karti hai, 1.5-litre VTi petrol engine jo 118 BHP aur 150 Nm torque produce karti hai aur 1.3-litre turbo petrol jo 161 BHP aur 230 Nm torque produce karti hai. India me kaunsi engine option ke saath MG ZS offer hoga, dekhna interesting hoga.

MG ZS Petrol

Currently, MG apne Hector facelift aur 7-seater Hector ke launch ka preparation kar raha hai. MG ZS ka launch hum mid-2021 me expect kar sakte hai. Ye car Indian market me compete karegi with Hyundai Creta, Kia Seltos and Nissan Kicks.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram