2021 Skoda Kushaq Interior Sketches Officially Unveiled

2021 Skoda Kushaq Interior Sketches Officially Unveiled-  2021 year, Skoda ke liye ek important year hone wala hai. Skoda Auto apne India 2.0 programme ko start karte hue Kushaq ko unveil karne wala hai on March 18. India 2.0 programme ke under, Skoda Indian market ke liye new products ko launch karne wala hai with heavy localization. Recently, Skoda Auto ne apne upcoming Kushaq SUV ke kuch features and engine details reveal kiye the. Aaj Skoda ne iss car ke interiors ke sketches unveil kiye hai.

2021 Skoda Kushaq Interior Sketches Officially Unveiled-

Skoda Kushaq Interior Sketches

2021 Skoda Kushaq Interior Sketches Details-

2021 Skoda Kushaq ke sketches se dekhne milta hai ki iss car ki interior kafi zyada premium hogi. Sketches se hum dekh sakte hai ki interior me hume black and white dual tone theme milta hai. Dashboard pe hume orange highlights bhi dekh sakte hai either sides of door handles tak run hote hai. Dashboard ke centre par hume large infotainment touchscreen dekhne milta hai jo Apple CarPlay and Android Auto support karta hai. Saath hi hume vertical ac vents, automatic climate control, door pockets, etc jaise features dekhne mil jaate hai. Kushaq me hume two-spoke steering wheel with mounted controls and digital MID instrument cluster bhi offer hota hai. Iske alawa hume iss car ke interior me panoramic sunroof, rear ac vents and charging sockets bhi offer honge.

Skoda Kushaq Interior Sketches Revealed

About Skoda Kushaq-

Skoda Kushaq, Skoda ki upcoming compact SUV hai jisse pehli baat AutoExpo 2020 me showcase kiya gaya tha. Iss car ko heavily localised MQB-AO-IN platform par build kiya jaa raha hai with upto 95 per cent localization. Skoda Kushaq me hume two engine options milte hai – 1.0-litre TSI turbo petrol engine jo 110 PS power and 175 Nm torque produce karta hai. Iss car me hume 1.5-litre TSI turbo petrol engine ka option bhi mil jaata hai jo 150 PS power and 250 Nm torque produce karta hai. Iss car me hume 6 speed manual, 6 speed torque convertor and 7 speed DSG gearbox ka option mil sakta hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram