2021 Suzuki Hayabusa Looks, Specification and Engine Details Unveiled

2021 Suzuki Hayabusa Looks, Specification and Engine Details Unveiled-Suzuki Hayabusa ek iconic motorcycle hai jisse pehli baar 1998 me introduce kiya gaya tha. Over the time, ye motorcycle kafi popular hoti gayi aur 2019 me Suzuki ne iss motorcycle ke 2nd generation model ko discontinue kiya due to stricter emission norms. Suzuki Motorcycles ne aaj, 2021 Suzuki Hayabusa ko unveil kar diya.

2021 Suzuki Hayabusa Looks, Specification and Engine Details Unveiled-

2021 Suzuki Hayabusa Unveil

2021 Suzuki Hayabusa Details-

2021 Suzuki Hayabusa me hume host of design and mechanical updates dekhne milte hai while retaining its bossy stance. Iss bike ko ek fresh look ke saath unveil kiya gaya hai. Iss bike ke bodywork ko streamline kar diya gaya hai aur iss bike ke every panel ko rework kiya gaya hai. 3rd gen Hayabusa me hume all new LED headlamp and new tail light dekhne milta hai. 2021 Hayabusa me hume new chrome exhaust bhi dekhne milta hai.

2021 Suzuki Hayabusa me hume larger 20-litre fuel tank, updated instrument cluster with large central MID, and tall windscreen dekhne milta hai. Iss bike ke ground clearance 125mm and iss bike ka weight ab 264 kgs hai.

2021 Suzuki Hayabusa Images

2021 Suzuki Hayabusa Engine-

2021 Suzuki Hayabusa me hume new 1340cc, 4 cylinder, liquid cooled, DOHC engine dekhne milta hai jo 190 PS power and 150 Nm torque produce karta hai. Ye enigine ab latest Euro 5 emission norms se comply karta hai.

Electronics ke baat kare toh iss bike me hume traction control, cornering ABS, wheelie control, quick shifter, hiss assist and different riding modes dekhne milta hai.

2021 Suzuki Hayabusa ka launch India me hume early 2022 me expect kar sakte hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram