2021 Suzuki Hayabusa Teaser Released, Unveil on 5th February

2021 Suzuki Hayabusa Teaser Released, Unveil on 5th February – The Flagship Suzuki Hayabusa GSX1300R bann gayi thi one of the best selling sports touring bike jab Bollywood movie ‘Dhoom’ mei iss mighty bike ko dekha gaya tha. Hayabusa sabse pehli Sports bike thi jisne 300Kmph ka top speed barrier break kiya tha, aur iss baat ko around ho chuke hain 10 saale se zyada.Suzuki Hayabusa thi one of the best Aerodynamically designed bike apne samay ki, but abb almost 10 saal se unchanged design aur features continue karne ke baad Hayabusa ko discontinue kardiya gaya tha year 2020 ke starting mein due toh BS-VI emission norms.

2021 Suzuki Hayabusa Teaser Released, Unveil on 5th February-

2021 Suzuki Hayabusa Video Teaser

2021 Suzuki Hayabusa Details-

Finally abb Suzuki ne announced kardiya hain next-generation Hayabusa ki world premiere 5th February 2021 ko hoga. Suzuki ne teaser video upload kiya hain jisme New Hayabusa ko dekha  jaa sakta hain. Iss teaser video me hume short glimpse dekhne milta hai of new 2021 Suzuki Hayabusa. Iss video se hume dekhne milta hai ki, Hayabusa retain karegi apna old straight-line performer stance. Saath hi Suzuki ne diya hain ek jhalak apne new instrument cluster ka, new instrument mein bi analogue dials dekhne milenge bass difference rahega display ka purane model mei LCD display tha but abb TFT display offer kiya jayega. Jo dega rider ko kaafi saari important information. 2021 Suzuki Hayabusa me hum same exterior headlamp deisgn expect kar sakte hai jo ek iconic design hai.

2021 Suzuki Hayabusa Instrument Cluster

2021 Suzuki Hayabusa Engine-

2021 Suzuki Hayabusa me hume  bada aur zyada powerful engine setup dekhne mil sakta hai as compared to the old Hayabusa. Rumors aise bhi spread ho rahe hain ki Hayabusa 2021 mein DCT bhi as an option offer kiya jaa sakta hain. Previous generation Suzuki Hayabusa me hume 1340cc, four-cylinder, liquid-cooled engine dekhne milta tha jo 197 HP and 155 Nm torque produce karti hai. Iss engine ko 6-speed gearbox milta tha.

 

Post By – Apoorv Arya


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram