2021 TVS Apache RTR 160 4V Launched in India at Rs 1.07 Lakhs – TVS Motor Company ne 160cc segment ki most powerful motorcycle TVS Apache RTR 160 4V ko Indian market me launch kar diya hai. Ye motorcycle, two variants me available hai disc and drum jiski pricing Rs 1.10 lakhs and Rs 1.07 lakhs (ex-showroom) hai.
2021 TVS Apache RTR 160 4V Launched in India at Rs 1.07 Lakhs-
2021 TVS Apache RTR 160 4V Details-
TVS ne recent times me apne products ko slight updates ke launch kar raha hai. Previously, TVS ne 2021 Apache RTR 200 4V ko slight update ke saath launch kiya aur aaj TVS ne RTR 160 4V ko minor updates ke saath launch kiya hai. Iss new model ke updates power figures and slight cosmetic changes tak hee limited hai. Iske alawa hume aur koi bhi major design overhaul nahi dekhne milta hai. 2021 RTR 160 4V model me hume:
LED Headlamp, LED Tail Lamp
Telescopic Front Fork, Rear Monoshock
270mm Front Petal Disc
130mm Rear Drum/ 200mm Rear Petal Disc
90/90/17 Front Tyre
110/80/17 Rear Tyre
Twin Barrel Exhaust
2021 TVS Apache RTR 160 4V Engine Details-
2021 TVS Apache RTR 160 4V me hume 159.7cc, single cylinder, oil cooled engine offer hota hai jo ab 17.63 PS power and 14.73 Nm torque produce karta hai. Iss bike ke power and torque figures me increase dekhne mila hai jahan older models 16.02 PS power and 14.12 Nm torque generate karte the. Issi power and torque figures ke saath Apache RTR 160 4V, segment ki most powerful motorcycle hai. Saath hi, hume iss bike ke weight me decrease dekhne mila hai aur ye bike ab two kgs lighter hai than previous model.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.