2021 TVS Apache RTR 200 4V Single Channel ABS with Riding Modes Launched in India – TVS Apache series, TVS ki one of the most selling and popular offerings me se ek hai. Last year, TVS ne Apache RTR 200 4V Dual Channel ABS variant pe riding modes include kiya jo segment ke kisi bhi aur bike par offer nahi kiya jaata. TVS ne aaj Apache RTR 200 4V Single Channel ABS variant par riding modes ko equip kar diya hai aur Rs 1.28 lakhs (ex-showroom) price par launch kar diya hai.
2021 TVS Apache RTR 200 4V Single Channel ABS with Riding Modes Launched in India-
2021 TVS Apache RTR 200 4V Single Channel ABS Details-
TVS Apache RTR 200 4V, TVS ke RTR series ki flagship offering hai jisse 2016 me launch kiya gaya tha. Iss bike pe hume aggressive LED headlamp, adjustable clutch and brake lever, race tunned adjustable SHOWA suspension, race tune SHOWA monoshock, RT slipper clutch and TVS Smart X Connect offer kiya jaata hai. Iske alawa ab iss bike par three riding mode bhi offer kiya jaata hai – Urban, Sports and Rain. Iss bike par hume 270mm front petal disc and 240mm rear petal disc brakes bhi offer kiye jaate hai.
2021 TVS Apache RTR 200 4V Engine Details-
2021 TVS Apache RTR 200 4V me 197cc, single cylinder, oil cooled engine offer kiya jaata hai jo 20.8 PS ka max power and 17.25 Nm ka max torque produce karta hai. Iss bike pe 5 speed transmission milta hai.
Apache RTR 200 4V pe 90/90/17 ke front and 130/70/17 ke rear tyres offer kiye jaate hai. Ye bike Matte Blue, Pearl White and Gloss Black color options me available hai. TVS Apache RTR 200 4V Single Channel ABS variant ki price Rs 1.28 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.