Year 2021, Audi ke liye kafi successful year raha hai jahan brand Audi ne apne product line-up ko facelift models ke saath update kiya hai. Recently, Audi ne Q5 ke facelift model ko launch kiya tha jisse locally assemble kiya gaya tha. Ab Audi ne Q7 SUV ke local assembly ko Aurangabad ke SAVWIPL plant me commence kar diya hai
2022 Audi Q7 Local Assembly Starts in India
2022 Audi Q7 Details
2022 Audi Q7 me hume kuch major changes dekhne wale from the previous model. Audi Q7 me ab newly designed front grille, new bumpers and revised headlamps dekhne mil sakta hai. Iss car ke side profile ko bhi update kiya jayega and new set of alloy wheels offer kiye jayenge. Iss car ke rear me bhi mild tweaks dekhne milta hai inform of new tail lights and bumper.
Interior me new dashboard offer hota hai with 12.3 inch all-digital instrument cluster, 10.1 inch touchscreen infotainment system and 8.6-inch display for centre console controls. Older model ke comparison me iss new model me loads of feature offer kiya jaane wala hai.
2022 Audi Q7 Engine
2022 Audi Q7 me 3.0-litre turbo V6 petrol engine offer kiya jaayega jo 340 HP power and 500 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 8-speed automatic transmission and Quattro all-wheel drive system ke saath combine kiya jaayega.
2022 Audi Q7 ko January 2022 me launch kiya jaayega aur ye car compete karegi with Mercedes GLE, BMW X5, and Volvo XC90.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.