Kawasaki ke ADV line-up ki most popular motorcycle hai Versys 650. Versys 650, Indian market me middle-weight ADV segment me compete karti hai and iss bike ke sales number bhi kafi acche hai. Kawasaki ne time-to-time apne saare motorcycle me updates diye hai but Versys 650 me major update long-overdue tha. Finally, Kawasaki ne 2022 Versys 650 ko ongoing EICMA 2021 me unveil kar diya hai.
2022 Kawasaki Versys 650 Unveiled at EICMA 2021
2022 Kawasaki Versys 650 Details
2022 Kawasaki Versys 650 ki styling iske elder sibling Versys 1000 se inspired hai. Iss motorcycle me ab new front fascia with twin LED headlamps, new 4 way adjustable flyscreen and sharper fairing dekhne milte hai. Iss bike ki one of the most important update hai, new TFT screen jo older analogue cluster ko replace karti hai. Versys 650 me ab same 4.3 inch TFT screen dekhne milta hai jo Ninja 650, Z650 jaise motorcycles me bhi offer kiya jaata hai. Iske alawa, Versys 650 me switchable traction control bhi offer kiya jaata hai.
2022 Kawasaki Versys 650 Engine
2022 Kawasaki Versys 650 ke engine me koi bhi changes nahi kiya gaya hai. Iss motorcycle me same 649cc, 2-cylinder, liquid-cooled engine offer hota hai jo 66 PS power and 61 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 6 speed gearbox ke saath combine kiya gaya hai. Versys 650 me same inverted front forks and rear mono-shock offer honge. Braking ki baat kare toh, iss bike pe older model jaise same 300mm dual front petal disc and 250mm rear petal disc offer hote hai. Iss bike pe 17 inch ke front and rear alloy wheels bhi offer hote hai.
2022 Kawasaki Versys 650 ab Candy Lime Green ke saath Metallic Spark Black colour option diya jaayega. Ye bike ko Indian market me 2022 ke start me launch kiya jaa sakta hai.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.