Maruti Suzuki ne recently all-new Celerio ko launch kiya tha in the Indian market. All-new Celerio ke launch ke baad, Maruti Suzuki apne existing vehicles ko update karne wala hai and kai vehicles ko aggressively test kar raha hai. Over the past few weeks hume Vitara Brezza, Baleno, XL6, Ertiga ke next generation models ko dekhne mile hai. Recently, hume next gen Alto ke test mule ko bhi spot kiya hai.
2022 Maruti Suzuki Alto Spied Testing on Indian Roads
Image Source – Kar DIY
2022 Maruti Suzuki Alto Details
2022 Maruti Suzuki Alto ko internally ‘YOM’ ka codename diya gaya hai. 2022 Alto ke spy images jo dekhne mile hai usme car ko heavy camouflage se cover kiya gaya tha jisse car ke most of the details pata karna mushkil hai. However, hume expect karte hai ki new Alto me new bigger grille, new headlamps and taillamps, bigger and taller body stance, larger redesigned tailgate, etc. jaise features dekhne mil sakte hai.
In the interior part, newly designed dashboard with touchscreen infotainment system and other tech features bhi offer ho sakte hai. As iss car ke dimesions me changes dekhne milne wala hai, hum expect karte hai ki interior bhi current model se zyada spacious hogi.
2022 Maruti Suzuki Alto Engine
2022 Maruti Suzuki Alto ke engine me koi bhi changes offer nahi kiya jaayega. Iss car me same 796cc, 3-cylinder, petrol engine offer kiya jaayega jo 47 HP power and 69 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 5 speed MT diya jaata hai. Since Maruti Suzuki ne Alto K10 ko discontinue kiya hai, 2022 Alto me hume 1.0-litre, 4-cylinder petrol engine bhi offer kiya jaa sakta hai. Maruti Suzuki iss car ko CNG variant ke saath bhi offer karega.
2022 Maruti Suzuki Alto ko 2nd half of 2022 me launch kiya jaa sakta hai.
IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.