2022 Maruti Wagon-R Set to be Launched in February 2022

2022 Maruti Wagon-R, Maruti Suzuki India ki 2nd product launch ho sakti hai in the month of February 2022 after 2022 Maruti Suzuki Baleno. Maruti Suzuki ne recent times me apne product line-up ko upgrade kar raha hai to stay up with the rivals and iske chalte Maruti Suzuki ne last year all-new Celerio ko launch kiya and in 2022, Baleno, Ertiga, Vitara Brezza and XL6 ko bhi update karne wala hai. Sources se pata chala hai ki 2022 Maruti Wagon-R, jisme minor updates dekhne mil sakte hai, iss car ko February 2022 me launch kiya jaane wala hai.

2022 Maruti Wagon-R Set to be Launched in February 2022

2022 Maruti Wagon-R Spy Images

Image Source – GaadiWaadi

2022 Maruti Wagon-R Details

2022 Maruti Wagon-R me major cosmetic updates nahi diya jayega, rather minor updates ke saath launch kiya jaayega. 2021 me Maruti Wagon-R ke over 1.81 lakh units sell hue hai and Wagon-R, India’s one of the most selling car rahi hai for 2021. Wagon-R ke popularity first time car buyers and cab aggregators me kafi zyada hai.

2022 Maruti Wagon-R me redesigned front bumper, new front grille, new 15-inch alloy wheels in top spec variant and new body colour dekhne mil sakta hai. Apart from this, koi aur cosmetic change nahi dekhne milega. On the inside, 2022 Maruti Wagon-R me new upholstery on the top spec variant dekhne mil sakta hai. Iske alawa hume new touchscreen infotainment system with Apple CarPlay and Android Auto, Hill Hold function in AMT variant and engine idle start/stop feature dekhne mil sakte hai iss car me.

2022 Maruti Wagon-R me bhi CNG variant diya jaayega as seen in the previous model. Soaring fuel prices ne customers me CNG ka demand ko increase kar diya hai and recently humne Tata ko Tiago and Tigor me CNG variant ko launch hote hue dekha hai. Maruti Wagon-R me CNG variant already popular hai jo kafi zyada number me sell hoti hai.

Maruti Suzuki XL5 Spy Images

2022 Maruti Wagon-R Engine

2022 Maruti Wagon-R ke engine me koi bhi changes nahi offer kiya jaane wala hai. Iss car me same 1.0 litre K10B petrol engine dekhne milta hai jo 67 HP power and 90 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 5-speed manual and 4 speed AGS gearbox ka option milta hai. Iss engine ke saath CNG bhi offer kiya jaata hai with 5-speed MT. Iske alawa, Wagon-R me 1.2-litre K12M, 4-cylinder petrol engine bhi offer kiya jaata hai jo 81 HP power and 113 Nm torque produce karta hai. Iss engine me bhi 5-speed manual transmission and 4-speed AGS ka option mil jaata hai.

2022 Maruti Wagon-R compete karegi with Tata Tiago and Hyundai Santro se.

Maruti Suzuki Wagon R

 


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram