3rd Gen Hyundai i20 crosses 25,000 Bookings Top trims in High Demand

3rd Gen Hyundai i20 crosses 25,000 Bookings Top trims in High Demand – Hyundai ne November 2020 me apni premium hatchback i20 ko Indai me lauch kiya tha. Launch ke kuch hi dino me iss gaadi ke 25,000 se zyada booking ho chuke hai. Iss gaadi ko festive season ke just pehle launch karne ki wajah se accha sales number achieve hua hai.

3rd Gen Hyundai i20 crosses 25,000 Bookings Top trims in High Demand –

2020 Hyundai i20 ko India me 4 variants me launch kiya hai, Magna, Sportz, Asta, Asta(O). 85% se zyada booking top 3 variants ko mila. Pricing ki baat kare toh base variant ka price INR 6.80 lakhs (ex-showroom) hai aur top end variant ka price INR 11.18 lakhs (ex-showroom) hai. Iss car me 2 petrol aur ek diesel engine ka option milta hai.

3rd Gen Hyundai i20

3rd Gen Hyundai i20 Specifications –

Petrol engine ki baat kare toh isme 1.2-litre natural aspired, petrol engine milta hai jo 83 BHP aur 115 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 5 speed manul transmission aur iVT gearbox ke saath combine kiya hai. iVT me power 88bhp ki mil jati hai Mileage ki baat kare toh Hyundai claim karta hai ki iss engine option me 20.35 kmpl (MT) aur 19.65 kmpl (iVT) ka mileage mil sakta hai.

Iss car me ek 1.0 turbo petrol engine bhi milta hai jo zyada powerful hai. Ye engine 120 BHP aur 172 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hum 7 Speed DCT ya iMT (clutchless-manual) gearbox dekh sakte hai. Company claim karti hai ki iss enige ka fuel economy 20.25 kmpl (DCT) aur 20 kmpl (iMT) hai.

Iss car me hum 1.5-litre diesel engine ka option bhi hai. Yeh engine 100 BHP aur 240 Nm torque produce karta hai. Iss engine me sirf 6 speed manual transmission available hai. Iss engie ka company claimed mileage 25.2 kmpl hai.

3rd Gen Hyundai i20 Features – 

i20 ko Hyundai ne ek premium hatchback ka tag diya hai aur isme kai saare features available hai jo first in segment hai. Isme hum 10.25 inch touchscreen infotainment system jo Apple Carplay, Android Auto ko support karta hu. Saath he hum isme bluelink technology bhi dekh sakte hai jo first in segment feature hai. Isme hum 7 speaker bose sound system, digital instrument cluster, wireless phone charger, aur saath he hum sunroof bhi dekhne ko milta hai.

3rd Gen Hyundai i20 Rival – 

Ye car Indian market me Maruti suzuki Baleno, Honda Jazz, Volkswagen Polo aur Toyota Glanza se compete karti hai.

3rd Gen Hyundai i20 Review – 1.2L Naturally Aspirated –

Post By – Aditya Vaitheswaran


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram