Tata Harrier Petrol expected in March 2021

Tata Harrier Petrol expected in March 2021 -Tata Harrier SUV segment me kafi popular aur successful vehicle hai. Tata ne iss SUV ko Indian market me 2019 me launch kiya tha. Tata Harrier ke ab tak 10,000 units se zyada tak ke sales ho chuke hai.

Tata Harrier Petrol expected in March 2021-

Tata Harrier Petrol Variant-

Reports se ab ye pata chala hai ki Tata Harrier jald hi hume Petrol engine ke saath dekhne milega. Tata Harrier me 1.5-litre turbocharged petrol engine dekhne mil sakta hai jo 168 BHP aur 250-270 Nm torque produce kare. Petrol variant pe hum 6 speed manual aur 6 speed automatic transmission dekh sakte hai, jo humne Harrier ke diesel variant par bhe dekha tha. Tata Harrier Petrol unn buyers ko aim karega jo petrol-powered SUV purchase karna chahte hai. Ab tak Tata ne iski koi official announcement nahi ki hai par hum expect karte hai ki ye variant March 2021 me launch ho.

Tata Harrier Front

 

Tata Harrier Petrol Design and Dimensions-

Tata Harrier petrol engine me jab launch hogi tab same body design aur dimensions carry karegi jo humne previous model me dekha tha. Tata  Harrier ko build kiya Land Rover ke OMEGARC platform pe. Ye gaadi dikhne me kafi bold aur muscular hai. Iss car ka length 4598 mm , width 1894 mm aur height 1706 mm hai. Iss car ka wheelbase 2741 mm hai.

Tata Harrier Side Profile

 

Tata Harrier Petrol Features-

Tata Harrier me hume bohot saare features dekhne mil jaate hai. Iss car me hume diamond cut alloy wheels, Xenon HID projector headlamps, LED taillamps, aur panoramic sunroof jaise features dekhne mil jaate hai. Saath he hume isme 8.8 inch ka touchscreen infotainment system bhe dekhne mil jata hai jo Apple CarPlay aur Android Auto ko support karta hai. Hum expect karenge ki petrol variant pe ye sab feature carry on honge.

Tata Harrier Rear

 

Tata Harrier Petrol Launch –

Tata Harrier ke petrol variant ka launch hum March 2021 me expect kar sakte hai. Cuurently, Tata Harrier Indian market me Diesel engine option ke saath available hai. Ye car ,2.0-litre Kryotc turbocharged diesel engine me available hai jo  170 PS power aur 350 Nm torque generate karta hai. Tata Harrier ki pricing INR 13.84 lakhs se INR 20.30 lakhs (ex-showroom) hai. Ye car Indian market me Jeep Compass, MG Hector, Hyundai Creta aur Kia Seltos se compete karti hai.

Tata Harrier Images


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram