Mercedes A35 AMG Drive Review of 400KMs

Mercedes A35 AMG Drive Review of 400KMs – So last week we have driven the starting AMG The A35 almost 400kms and aaj hum aapke sath usi ka review share kar rahe hai. Sabse pahle aapko ye batade ki A35 AMG aesi car hai jo ki roj use ki ja sakne wali sports car hai. Sath hi isse aap as a family car jese bhi use kar sakte hai.

Mercedes A35 AMG Drive Review of 400KMs

Mercedes A35 AMG Drive Review of 400KMs

Mercedes Benz A35 AMG Looks –

Jo yellow colour aap niche pic me dekh rahe hai literally ye dekhne me bahut badiya lagta hai is car pe. Sath hi front se car kafi sporty lagti hai. Side se dekhne me complete sports car wali vibe hai. Because of iske low ground clearance or rear low slung roof ki vajah se. Piche se 90 millimetres ke diameter wale 2 exhaust pipe ise kafi appealing banate hai. Or AMG ki badging hi apne aap me is car ko Normal Mercedes se alag bana deti hai. Wait AMG ki badging… Ab to performance ki bat karni padegi.

Mercedes A35 AMG first look

A35 AMG Performance –

4.8Sec me 0-100kmph karti hai ye car. Numbers padne me jitne excite karte hai A35 AMG real life me usse jyada fun to drive machine hai. 2.0L 4 cylinder engine 301bhp or 400nm ka torque deta hai. Top speed 250kmph hai. Or Mercedes ka 7 speed ka dual clutch transmission kafi badiya shifting provide karta hai. Car 18 inches ke low profile tyre pe chalti hai jo ki ise kafi badiya grip provide karte hai.

Mercedes A35 AMG launch control

Sath hi isme 5 driving modes milte hai. Slipper, Individual, Comfort, Sports, or Sports Plus. Sabhi modes me car ke behaviour me changes hote hai. Sabse jyada maja isko Sports plus me chalane me aata hai. Race start active hone pe jo power car me hoti hai launch ke time vo aapko seat pe push karti hai. or G-force aap feel kar sakte hai. Vahi triple digit car 3rd gear me aajati hai. Or itni fast aati hai ki aapko speed ka pata hi nahi chalta.

So in last bat ye hai ki is car ko aap roj use kar sakte ho. Chahe apne partner ke sath long drive pe jana ho. Office jate time fun to drive car chahiye. Jo attention bhi grab kare. Or weekends pe track pe bhi lekar ja sakte hai.

A35 AMG Features –

Car me MBUX hai. Jo log is term (MBUX) ko jante hai vo samjh gaye honge ki ye car feature loaded hai. Chaliye jo nahi jante hai unhe bhi bata diya jaye. To car me aapko dashboard pe ek badi screen milti hai jise 2 part me divide kiya gaya hai. Jinse car ke almost sabhi features active kiya ja sakte hai.

64 colour ambient ligjt
6+ speaker
Apple carplay and Android auto (wired)
Voice command function
Electronic front seats adjustments
Electrochromic IRVM
Alexa compatibility

Mercedes A35 AMG Features

And ye list khatam hi nahi hogi car me itne sare features hai. Rear seat pe bhi aapko Ac ke blowers mil jate hai. Reading lamps, Centre armrest with two cup holders diye gaye. hai. But headroom thoda kam hai because of roof shape.

Mercedes-AMG A35 Things to improve –

Car 58Lakhs Ex-showroom ki price ke hishab se bahut hi badiya hai. But jo improvements Mercedes ko isme karne chahiye vo hai iska exhaust system. Kafi flat se feel hota hai. Bahut jyada loud nahi hai.
Or rarely usme pops sunai dete hai. Dusra 7 speed gearbox jab car low speed pe hota hai to utna fast shift nahi karta. Isme bhi improvements kiye ja sakte hai. But ha 70kmph ki speed cross karne ke bad ye aapke sochne se bhi pahle gear shift kar chuka hota hai. Or wireless Apple carplay or Android auto mil jaye to maja hi aajaye.
Or last cons sabhi ke liye nahi hai but jo log ise roj use karenge unhe iske stiffer suspension or low ground clearance se thodi pareshani ho sakti hai.

 

Mercedes A35 AMG engine


IndianTorque hain one of its kind and India’s first HINGLISH automotive website jaha pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti hain, yaha pe aapko unbiased review, comparison bhi milenge jis se aapko apne liye perfect vehicle choose karne me aasani ho. So guys notification on kar lijiye IndianTorque.com so that koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram