Tata Nexon EV Subscription Cost Lowered. Plans Start from Rs 29,500 – Tata Nexon EV ko Indian market me January 2020 me launch kiya gaya tha. Ab tak iss EV ke 2,000 se bhi zyada units sell ho chuke hai. August 2020 me, Tata Motors aur Orix Auto auto ne partnership announce kiya jisse customers, Tata Nexon EV ko outright purchase karne ke badle iss car ka monthy subscription le sakte hai. Tata ne iss subscription ka initial pricing Rs 41,900 for 36 months rakha tha. Recently, Tata Motors ne iss subscription ke price ko drastically drop kar diya hai.
Tata Nexon EV Subscription Cost Lowered. Plans Start from Rs 29,500-
Tata Nexon EV Subscription Plans –
Tata Nexon EV ko initial subscription plan tha Rs 41,900 per month for 36 months tenure. September 2020 me iss plan ko reduce karke Rs 34,900 per month kiya gaya. Recently announced offer me, iss plan ke price ko Rs 29,500 per month kiya gaya. Ye subscription plan Nexon EV ke XZ+ variant par he avaible hai. Iss plan ko ab tak 5 cities me launch kiya gaya hai.
Delhi/NCR me 36 months subscription plan ka cost Rs 29,500 per month hai, 24 months subscription plan ka cost Rs 31,600 per month hai aur 12 months subscription plan ka cost Rs 34,500 per month hai. Banglore aur Hyderabad me 36, 24 aur 12 month subscription plan ke cost Rs 34,700 , Rs 37,200 aur Rs 40,400 hai. Mumbai aur Pune me iss plan ke 36,24,12 month plan ke cost Rs 36,700, Rs 33,700 aur Rs 31,400 hai.
Tata Nexon EV Subscription Engine –
Tata Nexon EV me hume 30.2 kWh Lithium-ion battery dekhne mil jaata hai jo 127 HP aur 245 Nm torque produce karta hai. Iss car ki maxium range 312 kms (single-charge) hai. Iss car ki price Rs 13.99 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.