Guys, Hyundai Aura Launch Date aaj hum aapke sath reveal karne wale he. Sath hi iska exterior to company ne hume dikha diya he but interior abhi nahi dikhaya gaya he. To Kya hua imagination bhi to exist karti he. Jokes apart guys, Aaj Hyundai Aura ki launch date, Pricing, Variants, And Specifications ke bare me bat karenge.
Hyundai Aura Launch Date in India –
Hyundai Aura Launch Date – Hyundai Apni is sub-4-meter sedan ko India me 21st January 2020 ko launch karne ja rahi he. India me us din iska interior bhi reviled kar diya jayega and jese hi media drive hoti he hum aapke sath Instagram par stroy me images share karenge to make sure aap vaha bhi humse jude rahe. Taki sabhi updates aapko jald se jald milti jaye.
Hyundai Aura Specifications –
Petrol
Engine = 1197cc, 4 Cylinders Inline, 4 Valves/Cylinder, DOHC
Power = 81bhp @6000rpm
Torque = 114 @ 4000rpm
Gearbox = 5-speed manual/Amt
Mileage = 20.8kmpl
Diesel
Engine = 1186cc, 3 Cylinders Inline, 4 Valves/Cylinder, DOHC
Power = 74 bhp @ 4000 rpm
Torque = 190nm @ 1750rpm
Gearbox = 5-speed manual
Mileage = 26.4kmpl
Petrol Turbo
Engine = 998cc, 3 Cylinders Inline, 4 Valves/Cylinder, DOHC
Power = 100 bhp @ 6000 rpm
Torque = 160 Nm @ 1500 rpm
Gearbox = 5-speed Manual
Mileage = 19kmpl
Hyundai Aura Dimensions –
Length | 3995 mm |
Width | 1680 mm |
Height | 1520 mm |
Wheelbase | 2450 mm |
Hyundai Aura Front Look –
Aap agar direct jake dekhenge Aura ka front se to bhot kam log pahchan payenge jo isme difference he NIOS se. Almost 90% element isme Grand i10 NIOS ke he. Gadi ke bumper ko naya look diya gaya he. Fog lamp assembly me bhi thoda sa change dekhne ko milta he. Sath hi grill NIOS se badi lagti he but DRL same usi position pe lagai gai he or dikhne me bilkul same he.
Vahi front face iska dekhne me kafi acha he or ek sobhar compact sedan ka look ise mil jata he. Or isme diye projector headlamp kafi NIOS me he same bahi he but isme dekhne me NIOS se ache lag rahe he. Car ke look se 100% match ho rahe he.
Hyundai Aura Side Look –
Aura Side me se dekhne par to B-pillar tak puri NIOS jese lagti he, But Uske bad jo notice karne wali ek attraction grabbing part he bo he C-pillar ka blackout hona jo ki isko apne segment me sabse alag or bhot hi sporty look deta he. Side se iska integrate spoiler jo ki trunk gate pe diya he vo clear dikh raha he or body lines bhi kafi sharply merge ki gai he. Vahi alloy wheels bhi kafi ache lag rahe he or gadi ka look enhance kar rahe he. Sath hi isme bhi same vahi profile ke tyre lage he jese ki i10 NIOS me milte he (165 / 70 R14).
Hyundai Aura Rear Look –
Yaha to abhi tak jitni bhi sedans available he Indian market me i think un sabhi se best look he Aura ka rear se. Isme aapko badi LED tail almp aate he jo ki boot lid par bhi he sath hi black colour me body outline di gai he jo ki ek naya patterns he segment ki sabhi gadiyo me vaha chrome ka use hua he. To Hyundai ne yaha ek step aage ka lekar black finish diya he.
Sath hi Hyundai ka logo and AURA ki badging same vese hi ki gai he jese ki Venue or NIOS me dekhne ko mili he. Ha elantra me bhi. To ab aane wale updates me Hyundai apni dusri gadiyo me bhi same vese hi badging karegi ye bol sakte he.
Overall Design of Hyundai AURA –
Gadi dekhne me achi lag rahi he or Hyundai ne SUB 4 Metre me abhi tak koi bhi successful gadi nahi di he. Or humne aapko Hyundai Aura Launch Date to bata hi di he. Ab Aura se ye umeed he jis hishb se iski degine or specifications rakhi he. Ye car indi ame selling figuers ache le kar aa sakti he. Aap iske bare me kya sochte he. Niche comment me ya Instagram pe jaruru se hume bataye.