Honda Discontinues Civic and CR-V in India – Honda Cars India ne announce kiya ki woh ab apne Civic sedan and CR-V SUV ko Indian market se discontinue karne wala hai.
Honda Discontinues Civic and CR-V in India-
Honda Shuts Down Greater Noida Plant-
Honda Cars India ne Greater Noida plant me vehicles ki production stop kar di hai, aur production ko Honda ke Tapukara Plant, Alwar district, Rajasthan me shift kiya jayega. Honda ne ye statement diya hai ki, woh CR-V and Civic models ko Tapukara Plant me shift nahi kar payega aur iss wajah se woh inn models ka production ko immediately stop karne wala hai. Honda Cars ki Tapukara plant high efficiency ke saath small aur medium size cars ko produce kar sakta hai. Iss plant me Civic sedan aur CR-V SUV vehicle ko Honda accommodate nahi kar payega.
Honda Civic-
Honda ne new generation Civic ko Indian market me March 2019 me launch kiya tha. Iss car me hume 1.8-litre iVTEC petrol engine dekhne milta hai jo 139 HP aur 174 Nm torque produe karta hai. Issc car me hume CVT gearbox dekhne milta hai. Petrol engine ke saath iss car me hume 1.6-litre iDTEC diesel engine bhi dekhne milta hai jo 118 HP aur 300 Nm torque produce karti hai. Iss engine option me 6 speed manual transmission mil jaata hai. Honda Civi ki pricing Rs 17.93 lakhs se Rs 22.35 lakhs (ex-showroom) hai.
Honda CR-V-
Honda ne October 2020 me CR-V ke facelift model ko Indian market me launch kiya. Iss car me 2.0-litre SOHC, iVTEC petrol engine dekhne mil jaata hai jo 152 HP aur 189 Nm torque produce karta hai. Iss car me CVT gearbox milta hai. Iss car ki price Rs 28.27 lakhs – Rs 29.50 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.