Ford Endeavour Features Reduced

Ford Endeavour Features Reduced – Ford Endeavour SUV, Ford ki flagship vehicle hai Indian market me. Aaj ke time me, manufacturers less amount of money me more and more features offer karte hai apni vehicle pe. Aise competitive market me Ford ne decide kiya hai ki woh Endeavour me se kuch important and useful features ko delete karne wala hai.

Ford Endeavour Features Reduced-

Ford Endeavour

Ford Endeavour Deleted Features-

Ford apne Endeavour SUV se kuch important features ko remove karne wala hai. Haalaki, reason unknown hai, par hum guess kar sakte hai ki aisa step Ford ko rising production cost ko nazar rakhte hue lena pad raha hai. Ford Endeavour ne apne sabhi variants par se active noise cancellation feature ko hata diya hai. Saath hi 4×2 variant par se front door steel scuff plate ko bhi hata diya hai. Iss 4×2 variant me ab ten speakers ke jagah par only eight speakers offer kiya jayega. Ford Endeavour ke Titanium+ and Sports variant par se rear passenger auxiliary heater feature ko bhi remove kar diya hai. Hume ye bhi information mila hai ki Ford Endeavour me ab hume dual-tonne alloys ke badle older single-tonne alloy wheels dekhne milenge.

Ford Endeavour Images

Ford Endeavour-

2nd Generation Ford Endeavour me hume LED headlamps with LED DRLs, large front grille, fog lamps, skid plated, panoramic sunroof, digital instrument cluster, touch screen infotainment system, ABS, EBD, semi-auto park assist, etc. jaise features dekhne mil jaate hai. Ford Endeavour ko Indian market me four varaints me offer kiya jaata hai – Titanium 4×2 AT, Titanium Plus 4×2 AT, Titanium Plus 4×4 AT and Sports Edition.

Ford Endeavour Rear

Ford Endeavour Engine-

Ford Endeavour me hume 2.0-litre, four-cylinder, EcoBlue diesel engine dekhne milta hai jo 168 BHP aur 420 Nm torque produce karta hai. Iss engine ko 10-speed automatic gearbox ke saath combine kiya hai.

Ford Endeavour Black

 

Ford Endeavour ki price Rs 29.99 lakh to Rs 35.10 lakh (ex-showroom) hai. Ye car Indian market me Toyota Fortuner, MG Gloster, and Mahindra Alturas G4 se compete karti hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram