Top 5 Autonews of the week – 4th January – 10th January

Top 5 Autonews of the week – 4th January – 10th January

News highlights of the week include – Kawasaki, Maruti Suzuki, Kia Motors, Honda 2 Wheelers & Tata Motors

Kawasaki India launches 2021 Z 650 and 2021 Versys 1000-

Kawasaki India ne Z H2 and Z H2 SE ke launch ke baad, 2021 Z 650 and 2021 Versys 1000 ko launch kar diya hai. Dono hi bikes me hume pricing ke alawa koi bhi changes ya updates dekhne nahi milre. 2021 Kawasaki Z 650 ka price Rs 6.04 lakhs (ex-showroom) hai and 2021 Kawasaki Versys 1000 ka launch Rs 11.90 lakhs (ex-showroom).

2021 Kawasaki Z 650

Maruti Suzuki Wagon R Electirc Car launch Cancelled-

Maruti Suzuki ne reportedly, Wagon R EV ke launch ko scrap kar diya hai citing commercial viability issues. Maruti kehta hai ki, EV ke parts ke import karne ke higher cost and time taken to localize EV kafi zyada hai, jiss wajah se woh iss car ko under Rs 10 lakhs launch nahi kar payenge. Maruti Suzuki ab components ko localising karne ka focus kar raha hai jisse woh iss car ko under Rs 10 lakh launch kar sake.

Kia Motors New Logo

 

Kia Motors Unveil New Logo-

Kia Motors ne 6th January 2021 ko apne new corporate logo and slogan ko unveil kiya. Kia motors ki new logo handwritten signature ko resemble karti hai. Kia motors kehti hai ki unki new logo represent karti hai company’s commitment to becoming icon for change and innovation. Kia apni brand purpose and brand strategy ko 15th January 2021 ko announce karega.

Kia Motors New Logo

Honda Activa Sales Milestone-

Honda Activa ko Indian market me 2001 me launch kiya tha. Launch karte hee ye scooter, kafi popular ho gayi thi. Honda Activa ne ab aisa milestone achieve kiya hai jisse koi aur two-wheeler achieve nahi kar paya. Honda Activa first scooter hai India me jisne 2.5 crore unit sales mark ka milestone achieve kiya hai. Honda Activa, consumers ke bech kafi popular scooter hai jisne over 50% market share hold kiya hai.

Honda Activa 6G

Tata Safari Production Commences-

Tata Motors ne recently announce kiya ki woh Tata Safari ka official unveil 26th January 2021 ko karenge. 2021 Tata Safari ko recently, Tata ke manufacturing plant me undisguised spot kiya gaya jisse hume pata chalta hai ki iss car ka production ko start kar diya gaya hai. 2021 Tata Safari based hai Tata Harrier pe jisme hume extra 3rd row seates milte hai.

Kia Motors New Logo

Image Source – Gaadify


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram