Maruti Suzuki BS6 Diesel Engine to Debut Soon – BS6 ke norms introduce hone ke baad Maruti Suzuki ne decision liya ki woh diesel engine ka production stop kar denge. Ye decision se Maruti Suzuki ke cars ke sales par significant drop dekhne mila hai. Humne pehle report kiya tha ki Maruti Suzuki apne BS6 compliant diesel engine pe kaam chalu karne wala hai. Ab hume information mili hai ki iss new diesel engine ko jald hee hum dekh sakte hai.
Maruti Suzuki BS6 Diesel Engine to Debut Soon-
Maruti Suzuki BS6 Diesel Engine-
Maruti Suzuki ne kafi time tak Fiat-sourced 1.3-litre diesel engine ko use kiya tha. Iss engine ko hume Maruti ke sabhi diesel variants me dekhne mila tha. Time ke saath ye engine age karne laga aur India me emission norms bhi strict hone lage. Maruti ne in-house developed 1.5-litre diesel engine ka production start kiya aur iss engine ko Ciaz aur Vitara Brezza jaise models pe dekhne mila. Recently jab BS6 emission norms ka deadline nasdeek aane laga Maruti ne decision liya ki woh diesel engine ka production stop kar dega.
Previously, hume information mili thi ki Maruti Suzuki ne apne Manesar plant me new BS6 compliant diesel engine ka production ko start kar diya. Abhi hume sources se pata chala hai ki ye BS6 diesel engine almost ready ho chukka hai. Iss engine ko hume Maruti Ertiga and Vitara Brezza jaise vehicles me dekhne mil sakta hai. Maruti Suzuki iss engine ko apne Baleno crossover and S-Cross replacement vehicles par bhi use kar sakta hai.
Humne pehle speculate kiya tha ki iss diesel engine ko hum festive season ya mid-2021 me dekh sakte hai. Jiss pace par Maruti Suzuki ne iss diesel engine ko develop kiya usse hume lagta hai ki iss new BS6 diesel engine ka debut March 2021 tak ho sakta hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.