2021 KTM Duke 890 Unveiled

2021 KTM Duke 890 Unveiled – Austrian motorcycle manufacturer, KTM apne light-weight powerful motorcycles ke liye kafi famous hai. European markets me KTM, apne  twin-cylinder sports motorcycle ke liye jaani jaati hai. 2021 me KTM ne decide kiya ki woh apne Duke 790 ko update nahi karenge balki, usko larger Duke 890 motorcycle ke saath replace kar denge. Kuch months pehle KTM ne Duke 890R launch kiya tha, aur KTM ne 890 family me new motorcycle introduce kiya hai – Duke 890.

2021 KTM Duke 890 Unveiled-

2021 KTM Duke 890 Images

KTM Duke 890 Details-

KTM Duke 890 ki styling similar hai to any other KTM naked bike. Iss bike pe hume twin-led headlamps, side mounted exhaust and signature KTM orange alloy wheels dekhne milte hai. KTM Duke 890 ki design 890R se kafi similar hai. KTM Duke 890 pe hume simple yet eye-catching graphics dekhne milta hai jo iss motorcycle ko less-aggressive styling deta hai as compared to Duke 890R.

2021 KTM Duke 890 Side Profile

KTM Duke 890 me hume chromium-molybdenum-steel frame and cast-aluminium sub frame dekhne milta hai jo iss motorcycle ko light weight banata hai. Iss bike pe hume WP Apex 43mm front USD forks and rear monoshock milte hai. Iss bike pe 300mm front dual disc bhi milta hai. Iss motorcycle ki seat height 820mm and ground clearance 191mm hai. Duke 890 me hume TFT screen bhi milta hai and iss bike pe hume 4 riding modes milte hai – rain, street, sport and track.

Electronics ki baat kare toh iss bike pe traction control, supermoto ABS mode, stability control, cornering ABS and wheelie control jaise features dekhne milte hai.

KTM Duke 890 Engine-

KTM Duke 890 me hume 890cc, parallel twin engine dekhne milta hai jo 115 HP and 92 Nm torque produce karta hai. Iss bike me bi-directional quick shifter and slipper clutch bhi milte hai.  Duke 890, 890R se lesser powerful hai. Duke 890 me hume same 890cc, parallel twin engine dekhne milta hai par ye engine 121 HP and 99 Nm torque produce karti hai. Duke 890 ki weight 169 kgs aur 890R 166 kgs weight karti hai.

KTM Duke 890 ko Indian market me mid-2021 me introduce kiya jaa sakta hai. Ye bike, Duke 790 ko replace karegi aur iska pricing around Rs 9 lakhs ho sakti hai.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram