2021 Jeep Compass Facelift Launched in India at Rs 16.99 Lakhs – Jeep Compass ko Indian market me 2017 me pehli baar introduce kiya gaya tha. Iss car ne compact SUV segment me kafi accha perform kiya tha. 2020 Guangzhou International Motor Show, China me Jeep ne 2021 Jeep Compass ko internationally unveil kiya tha. Aaj Jeep ne 2021 Jeep Compass ko India me unveil kar diya hai.
2021 Jeep Compass Facelift Launched in India at Rs 16.99 Lakhs-
All-new Jeep Compass Design (Looks)-
2021 Jeep Compass ke exterior me hume changes dekhne milte hai. Iss car ke headlamp ko tweak kiya gaya hai inka design ab sharper hai. Headlamps pe hume integrated LED DRLs bhi dekhne mil jaate hai. Iss car ke 7 slat grille pe hume honeycomb mesh ka pattern dekhne milta hai. Iss car me hume revised bumper, new faux skid plates aur newly designed alloy wheels bhi dekhne mil jaate hai.
2021 Jeep Compass Interior-
2021 Jeep Compass ke interior me bhi hume changes dekhne mil jaate hai. Iss car me ab new 10.1 inch floating touchscreen infotainment system dekhne mil jaata hai jo wireless Apple Carplay aur Android Auto ko support karta hai. Saath hi hume digital instrument cluster, sleeker ac vents aur panoramic sunroof jaise features bhi dekhne mil jaate hai.
Jeep Compass Engine-
2021 Jeep Compass me hume same engine dekhne milega jo humne previous model me dekha tha. Iss car me hume 2.0-litre diesel engine mil jaata hai jo 173 PS power aur 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me 6 speed manual transmission mil jaata hai. Diesel engine ke alawa iss car me hume 1.4-litre turbocharged petrol engine bhi mil jaata hai jo 163 PS power aut 250 Nm torque produce karta hai. Iss enignem hume 6 speed manual aur 7 speed DCT gearbox mil jaata hai.
2021 Jeep Compass ko five varaints me offer kiya jaata hai – Sport, Longitude, Limited (O), S and 80th Anniversary (special edition). Iss car ki pricing Rs 16.99 lakhs to Rs 28.29 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.