Tata Harrier Base XE Variant Details – Tata Harrier, Tata ki 5 seater SUV vehicle hai jisse 2019 me launch kiya gaya tha. Iss car ko OMEGA Architecture par build kiya gaya hai jiss par Range Rover ko bhi build kiya jaata hai. Harrier me Tata ki Impact 2.0 desgin language use ki gayi hai jo iss car ko aggressive and sporty stance deti hai. Tata Harrier Indian market me total 9 variants me available hai – XE, XM, XMA, XT, XT+, XZ, XZ+, XZA, XZA+. Aaj hum iss car ke vase XE variant ke bare me baat karenge.
Tata Harrier Base XE Variant Details-
Tata Harrier XE Variant Specifications –
Dimensions : 4598mm x 1894mm x 1706mm
Wheelbase : 2741 mm.
Boot Space : 425 Litres
Fuel Tank Capacity : 50 Litres
Tata Harrier kafi spacious vehicle hai jisme hume comfortable seats and spacious cabin milta hai. Iss car ki boot bhi kafi badi hai jisse hum zyada luggage carry kar sakte hai. Iss car me hume kafi accha ground clearance bhi milta hai.
Tata Harrier XE Variant Comfort Features-
Power Steering
Projector Headlamps
DRLs with Turn Indicators
3 USB Ports
Tata Harrier ke base variant me koi bhi tarah ka infotainment system nahi milta hai jo kafi disappointing hai. Iss car me hume manual ac ka option mil jaata hai.
Tata Harrier XE Varaint Safety Features-
Dual Front Airbags
ESP
Hill Hold Control
Traction Control
Corner Stability Control
ABS with EBD
Rear Parking Sensor
Harrier ke XE variant me koi bhi major safety feature par compromise nahi kiya gaya hai. Iss variant me hume most of the safety features mil jaate hai. Tata iss variant me automatically adjustable OVRMs offer kar sakta tha jo aaj ke din ek important feature ban gaya hai.
Tata Harrier Engine-
Tata Harrier me hume only Kryotec 2.0-litre turbo diesel engine dekhne milta hai jo BS6 compliant hai. Ye engine 170 PS power and 350 Nm torque produce karta hai. Iss engine me hume 6 speed automatic and manual transmission ka option mil jaata hai.
Tata Harrier XE Variant ki price Rs 13.99 lakhs (ex-showroom) hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.