2021 Bajaj Pulsar to be Re-Introduced in the Indian Market – Bajaj ke Pulsar series motorcycles, Indian market me kafi popular hai and large numbers me sell hote hai. Bajaj ne apni pehli Pulsar motorcycle ko 2003 me launch kiya tha with 150cc and 180cc engine. Bajaj ne Pulsar ke saath kafi success achive kiya aur aaj Pulsar brand ke under hume 6 motorcycles offer hote hai.
2019 me Bajaj ne Pulsar 180 motorcycle ko discontinue kar diya tha aur instead semi-faired 180F ko introduce kiya. Reports se hume ab pata chalta hai ki, jald hee Pulsar 180 ko re-introduce kiya jayega.
2021 Bajaj Pulsar to be Re-Introduced in the Indian Market-
2021 Bajaj Pulsar Details-
2021 Bajaj Pulsar me hume similar deisgn dekhne milega jo hume Pulsar 150 and Pulsar 125 me dekhne milta hai. Iss bike par hume alloy wheels, telescopic forks, dual gas shock rear suspension, single front disc brake, rear disc brake and single channel ABS jaise features offer ho sakte hai. Iske alawa hume Pulsar 180 me distinctive graphics and new colour pallets bhi offer ho sakte hai jo iss bike ko other Pulsar se differentiate karte hai.
2021 Bajaj Pulsar Engine Details-
2021 Bajaj Pulsar me hume same 178.6cc, single cylinder, air-cooled, engine milta hai jo 17 PS power and 14.52 Nm torque produce karte hai. Iss engine ko 5 speed gearbox milta hai.
Pricing ki baat kare toh, Pulsar 180 ki pricing around 1.07 lakhs tak ho sakti hai. Iss bike ko Pulasr 150 ke above and Pulsar 180F ke below position kiya jaayega. Ye bike compete karegi with Honda Hornet 2.0 and TVS Apache RTR 180.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.