Top 3 Best Car Under 8 Lakhs in India 2020 – So hey guys, Aaj bat kare top 3 best BS6 hatchback cars ke bare me jo ki under 8 lakh rs me aap le sakte ho. In cars ko select karna kafi tough tha because aap sabhi ko bhi pata hi hai ki India me is budget me kitni sari gadiya available hai. Ab un sabhi gadiyo me se sirf 3 gadiyo ko shortlisted karna kafi tough hai.
But agar mene aapko 3 cars bata bhi di ki in teeno me se koi ek lelo to bhi aapka confusion to bana rahega or aapme se kai sare log itne to smajhdar ho hi ki khud ne hi 2-3 gadiya to select kar rakhi hogi. Or maai bhi 3 bata du to problem solve kaha se hogi.
But iska solution bhi mujhe aap logo ne hi diya hai last me aapko pata chal jayega ki kese?
Top 3 Best Car Under 8 Lakhs in India 2020 –
Mene aap logo ke liye category banai hai ki konsi car kis purpose ke liye achi rahegi. Taki aapko direct ek car aapke liye pata chal jaye ki ha mai is category me aata u to mujhe ye car leni hai. Baki koi doubt aata hai to vahi niche comment ya Instagram pe massage.
A = FAMILY – Top 3 Best Car Under 8 Lakhs in India 2020
Agar aap family purpose se car lene ka soch rahe hai and budget to apan ne select kara hua hi hai 8 lakh ka. To aap logo ke liye Hyundai Grand i10 NIOS best option hai.
AESA KYU?
Family me use hone wali gadiya aese honi chahiye ki unka road presence acha ho or And interior me koi compromise na kiya gaya ho. Or mileage acha mil jaye to sone pe suhaga wali bat ho jati hai. Ab yaha pe NIOS me aapko Best in class interior milta hai mileage ke mamle me petrol or diesel dono hi engine ache hai. CNG ka bhi option available hai. but ha diesel engine thoda kam powerful hai apne segment ki dusri gaadiyo se.
Or india me 70% log apni gaadiyo ko 3-4sal me sell kar dete hai to Hyundai ki brand value achi hone se aapko resell value bhi achi mil jayegi. Aap customer ke liye jyda dhundna bhi nahi padega in gaadiyo ke liye customers bahut jaldi mil jate hai. To ye reason hai NIOS as a family car suggest karne ke.
B = Youngster – Top 3 Best Car Under 8 Lakhs in India 2020
“Power Chahiye Power Or ha dhyan rakhna maintenance low ho” Ye words ka itni bar reply kara hai mene comment or insta massages me. Isliye sirf ek hi car yaha mind me aati hai ‘Ford Figo’
REASON?
Petrol me 95ps or diesel me 100ps sath hi ford ki website pe service charge likhe huye hai. ab isse jyada transparency kon rakhta hai aaj ke jamane me. Dono kam hi hogaye yaha to low cost me gadi kharido power bhi badiya or maintenance bhi low.
Ha ek question aapke dimag me abhi aaya hoga ki mileage kam dete hai ford ki gadiya. To Aap mere youtube channel pe iski video dekhlo or nahi to khud se drive karke dekh lo.
Ye sab bhi thik hai ek bat aapko clear kar du ki har kisi ka mileage alag alag hi aayega. Because mileage driving habits ke sath-sath Atmosphere, Car condition, Terrain and or bhi kai sari chijo pe depend karta hai. or ek approx digit batau to ache se chalaoge to petrol engine se 16-20 kmpl ka nikal loge or disel me 23-25kmpl kahi nahi gaye itna to mil hi jayega.
Isse bhi jyada chahiye to jo brand aapke papa ya dadaji suggest kar rahe hai vo lelo best hai. Samjh hi gaye honge 🙂
C = Business – Top 3 Best Car Under 8 Lakhs in India 2020
Ye un type ke logo ke liye hai jinhe apne kam ki vajaha se highway pe long journy karni padti hai ya ye bol sakte hai ki safety ki requirement bahut jyada hoti hai. Unke liye Tata Altroz best option available ahai india market mai.
REASON?
5-star NCap rating hai Altroz ke pass or apne segment me isse jayda safest car koi nahi hai. But jin logo ko first-time car leni hai unhe to koi problem nahi hogi but jo log pahle se koi is segment ki gadi chala chuke hai unhe isme power ki kam mahsoos hogi. Reason hai gaadi ka weight jyda hai. But ek bat yaad rakho ki isme instant picup nahi milta hai but linear acceleration hota hai jo ki kafi logo ko bahut acha lagta hai or car 120+ speed pe bhi kaafi stable hai. ye mene khud se test kiya hai.
Or jo log highway pe cruise karte hai unhone kya karna hai 80-90ki speed pe cruise control on kardena hai but ha aese roads bhi har kisi jagah nahi milti let it bhi altroz kafi achi gaadi hai kai sare customization option ke sath aati hai jo ki again first in segment hai. aap base variant lekar usme top variatn ke feature lagwa sakte hai vo bhi company fitted, Isse best option kuch nahi ho sakta.
Guys ye thi Top 3 Best Car Under 8 Lakhs in India 2020 or ha baki cars ko kyu nahi suggest kiya uska reason janna chahte hai to insta pe dm kar dena ya niche comment
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare. Instagram