Hyundai i20 N-Line Spotted Testing in India – Hyundai Motors ne November 2020 me apne all-new i20 premium hatchback ko India me launch kiya tha. Iss car ne launch hote hee kafi buyers ko attract kiye. Hyundai ne European markets ke liye, Hyundai i20 N-Line ko reveal kiya. Ye car i20 ki performance oriented vehicle hai jo regular i20 se zyada powerful hai. Recently, hume Hyundia i20 N-Line ke test vehicle ko Indain roads pe spot kiya.
Hyundai i20 N-Line Spotted Testing in India-
Image Source – Team-BHP.com
Hyundai i20 N-Line Details-
Hyundai i20 N Line ke jiss model ko spot kiya gaya tha uske front and rear ko cover kiya gaya tha. However, iss car ko International market me launch kiya gaya hai jisse hume iss car ke deisgn elements and looks ke details hai. I20 N-Line, regular i20 se zyada sporty hogi. Iss car me hume different front and rear dekhne milega along with new 17inch alloy wheels.
Iss car me hume new triangle-shaped-fog lamp, N Line steering wheel, N Line gear shift knob jaise elements offer honge. Iske alawa hume iss car me 10.25 inch centre touchscreen infotainment system with connected tech, digital instrument cluster, automatic climate control etc. jaise features offer ho sakte hai.
Hyundai i20 N-Line Engine-
Hyundia i20 N-Line me hume 1.2-litre, 4-cylinder MPI petrol engine milta hai jo 84 PS power and 117.6 Nm torque produce karta hai. Iske alawa hume 1.0-lite, 3-cylinder Turbo petrol engine ka option bhi mil jaata hai ko 120 PS power and 200 Nm torque produce karta hai. Hum expect karte hai ki dono engine me only DCT transmission available hoga.
Hyundai i20 N-Line ka launch hum mid-2021 me expect kar sakte hai. Iss car ka pricing ko regular i20 se premium pricing par sell kiya jayega. India me launch hone par ye car around Rs 12 lakhs tak ho sakti hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.