2021 Honda HR-V Globally Unveiled

2021 Honda HR-V Globally Unveiled – Honda ne unveil kardi hain apni compact cross-over HR-V ka new generation model globally Japan mein, Honda HR-V Vezel ke name se available hain Japanese market mein. HR-V ka yeh 3rd generation model hain jiski worldwide sales operation 2021 April mein shuru kiya jayega Honda ke plans ke according, issi ke sath India mein Honda ke koi plans nahi hain as of now apni new HR-V launch karne ka.

2021 Honda HR-V Globally Unveiled-

2021 Honda HR-V Front

2021 Honda HR-V Exterior Details-

2021 HR-V ko larger dimensions diye gaye hain agar compare kiye jaaye old-gen HR-V se toh. Exterior mein HR-V ke iss new generation variant mein Honda ne single body coloured hexagon-shaped grille, LED headlamps, silver skid plate, five-spoke alloy wheels, wrap-around LED taillamps, dual-tone bumper jaise features diye hain.

2021 Honda HR-V Side Profile

2021 Honda HR-V Interior Details-

New HR-V ke black-themed cabin ko Honda ne complete makeover diya hain aur ek bahot badi feature list ke saath equip kiya gaya hain new-gen HR-V ko. Features mein Honda ne 9-inch floating touchscreen infotainment system with Android Auto & Apple CarPlay, nine-speaker sound system, panaromic sunroof, rear AC vents jaise features offer kiye hain. Safety ki baat kare toh Honda ka sabse main feature rahega autonomous driver’s assist functions aur features jaise adaptive cruise control, 360-degree view camera, blind-spot monitor jaise features diye hain HR-V mein.

2021 Honda HR-V Dashboard

2021 Honda HR-V Engine Details-

Honda HR-V ke engine mein kuch difference nahi diya gaya hain same hee engine option offer karega Honda jo CR-V ke liye bhi use karta hain Honda, woh engine hain Honda ka famous 1.5L i-VTEC Petrol engine jo produce karta hain 120PS ki max power aur 145Nm ka max torque. Iss single engine option ke saath Honda initially sirf CVT automatic gearbox ka option offer karega customers ko.


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram