What is ABS?- Anti-lock Brake system

What is ABS?- Anti-lock Brake system – Anti-lock braking system jisko popularly ABS ke name se bhi log jaante hain but exactly kya hain ABS aur ABS ka kya use hota hai.n vehicles mein uske baare mein awareness nahi hain utne level par logo mein, toh aaj hum simple language mein explain karenge ki kya hota hain exactly ABS aur kaise ABS ek important role play karta hain driver ke safe driving experience mein.

What is ABS?- Anti-lock Brake system-

What is ABS?-

Anti-lock braking system hota hain ek major safety feature jo kaafi handy prove hota hain sudden braking aur collision prevent karne mein. ABS prevent karta hain gaadi ke wheels ko lock hone se jab bhi ek dum se brake lagayi jaati hain, ABS help karta wheels ko grip maintain karne mein koi bhi sudden braking ke time par.

ABS

How ABS works?-

Anti-lock braking system overall stability system ka ek essential part hain jo usually gaadi ke wheels monitor karta hain under heavy braking, depending on the vehicle ABS sensors har ek wheel se attached hote hain. ABS ke intelligent sensors detect karlete hain jab bhi gaadi ka wheels lock hone wala hote hain toh ABS system wheels ko unlock kardeta hain for the moment jab bhi gaadi heavy aur sudden braking karne waali ho. ABS not only braking karne mein help karta hain but ABS gaadi ko control mein rakhta hain jisse aapki gaadi skid nahi hogi aur control mein rahegi driver ke.

ABS Image Explanation

Importance of ABS-

Jab bhi ABS apna kaam karna start karta hain tab gaadi ke brakes one second mein bahot baar apply hota hain jisse wheels lock nahi hote hard braking karne par, jisse gaadi slow down ho jaati hain apni grip maintain karte hue and traction available rehti hain gaadi ke liye jisse steering par se control ni lose hota driver ka.

 

Post By – Apoorv Arya


IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.

Instagram