Top 3 Most Powerful SUV under 15 Lakh – Guys, Bahut se logo ko ek fun to drive SUV chahiye taki vo apni ride ko enjoy kar sake and unke budget me bhi aa jaye. Because har koi to sports car afford nahi kar sakta hai. So companies ne ab ek TURBO Petrol engine dena shuru kar diya hai apni gaadiyo me jisko vo log pasand karenge jo ki roj ya to khud gaadi chalate hai ya phir weekend rides pe jana pasand karte hai.
To aaj apan discuss karenge ki konsi aese Top 3 SUV hai jinhe aap 15 Lakh me purchase kar sakte hai and ye kafi fun to drive bhi hai or VFM bhi hai.
Top 3 Most Powerful SUV under 15 Lakh
1st – Nissan Kicks – Kicks 1.3L turbo petrol India me abhi hi launch hui hai and isme jo ye petrol turbo engine diya hai company ne ye Mercedes sourced engine hai. And isme manual and Nissan XTronic CVT gearbox diya hai jo ki kafi smooth-shifting offer karti hai and kafi fun to drive feel karwata hai.
Power ki bat kare to isme 154bhp ki power 5500rpm and 250 nm ka torque 1600rpm pe hi mil jata hai. Isme company ne Engine coating technology ka use kiya hai jo ki Nissan GTR me use hoti hai jisse performance and efficiency dono badegi. And sath hi jo Xtronic CVT gearbox hai vo normal CVT gearbox se 40% jyada fuel-efficient hai. And sath hi ye aapko segment me sabse kam price mai bhi mil rahi hai.
2nd – Hyundai Creta – Yaha Petrol Turbo variant 15 lakh me nahi aata hai but iska 1.5L diesel engine kafi powerful hai and chalane mai bhi bahut acha hai. Sath hi powerful bhi feel hoti hai. Ab yaha pe aap logo ke pass ek or option hai seltos, But agar aapko petrol me hi chahiye to uske liye aapko 2 lakh or kharch karne padenge jisse ki aap iska 1.4L turbo petrol engine le paye.
But mera suggestion yahi hai ki aap 15 lakh me iska S variant diesel mai purchase kare ye bhi kafi puncy hai or sath hi aapko kam ke sabhi features is variant me mil jate hai. Vahi S variant ka review bhi youtube channel pe available hai aap chahe to dekh sakte hai.
3rd – Mahindra XUV300 – Petrol engine Or Diesel Engine aap dono me se jo chahye apne need ke according le sakte hai (Monthly running is less than 1500 kms than petrol is good and if more than diesel is good to go) Dono engine bahut hi achi performance aapko provide karte hai. Petrol me 1.2L engine hai jo ki turbocharged hai and 110 ps ki power 200nm of torque ke sath generate karta hai and Diesel me 1.5L Engine 115bhp ki power and 300nm ka torque output deta hai or 6-speed ke manual gearbox se less hai sath hi automatic ka bhi option available hai.
To ye sabhi hai Top 3 Most Powerful SUV under 15 Lakh baki iske alawa aapko or koi doubt hai ya phir aapko kisi or bhi gaadi me confusion hai to aap niche comment kar sakte hai ya aap Instagram ya facebook pe humse bat kar sakte hai. Or Nissan Kicks BS6 ka detailed review bahut hi jald aane wala hai to aap YouTube channel pe jarur se humse jude rahe taki koi bhi update aap miss na kare.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.