Top 3 Bikes Under 1.5 Lakhs in India 2020 – 3 Bikes Bataunga 1.5L me to Confuse ho jaoge aap, Isliye 3 Category me 1 – 1 bike bataunga jisse aapko apne liye ek perfect bike mil jaye.
India me bikes ka buffe laga hua he. Ek budget decide karne ke bad usme se 10 bikes me se ek select karna bike purchase karne se jyda tough task ho jata hai. But koi na hum he na aapki help karne ke liye.
Top 3 Bikes Under 1.5 Lakhs in India 2020
Jesa ki mene aapko bataya hai ki aaj category wise bike select kaenge kisko konsi bike sahi rahegi. To sabse pahle aapke samne category introduce kar dete hai.
A – Student
B – Family
C – Business
To ye 3 category me log india me sabse jyada bike purchase karete hai. Aapko sirf apni category pata karni hai ki aap kisme aate ho. Jisse aapko aapke liye 1 perfect bike mil jaye. Or koi jyada problem na ho compare karne ki ya kisi or se puchne ki.
1st – Apache 160 4V
– Student ki need hoti hai badiya look, Good performance or mileage bhi decent mil jaye or service cost kam ho to sone-pe-suhaga wali bat ho jati hai. And Apache 1604v Under 1.5 Lakh budget me student ki category me fit beth ti he.
Isme performance segments me sabse best he. Looks ache hai or ache se chalao to mileage bhi acha dedeti hai. Sath hi Service cost bhi jyada nahi hai but ha kam bhi nahi hia. medium hai. Or ek bat pillion bhi comfortably ride enjoy kar sakta/sakti hai.
2nd – Yamaha FZ V3
– Ab Bahut sare log soch rahe honge FZ ko yaha kese rakh diya to uska reason jan lo Family ke liye aapne 1.5L ki bike lene ka budget banaya hai. Ab bike pe jo couple ride karne wale hai unhe is price me chahiye ek achi quality ki bike jisme refinement or comfort dono ho jisse vo weekend trips bhi kar sake. Or FZ jitne comfortable suspension aapko is segment ki kisi or bike me nahi milenge.
Sath hi new BS6 update me jo Pillion seat ka area 16% badaya hai or usme cushioning bhi badai gai hai usse pillion aaram se beth ke is bike pe long journey kar sakta hai. Inhi sabhi karan ki vajah se FZ V3 1.5 Lakh me ek best family bike hai.
3rd – Pulsar 220f / Honda Unicorn 160 ABS
– Business ho ya job pe jana ho heghit jyada ho ya weight ye dono bikes aapko kafi comfortable feel hone wali hai. Kai bar office ghar se kaafi dur hota hai jiske liye jyada displacement wali bike ki requirement hoti hai and budget me aapko Pulsar 220f hi ek aesa option milta hai jo ki aapki need ko fullfill kar sake.
Or jinhe jyada dur nahi jana ho and classy looks chahiye jyada cosmetics wali bikes nahi pasand hai vo Unicorn 160 ABS ko prefer kar sakta he. Dono hi bike kafi achi or refine hai.
So Guys ye hai Top 3 Bikes Under 1.5 Lakhs in India 2020 jinhe aap apne needs or requirement ke according purchase kar sakte hai. Or agar aapko iske alawa kuch doubt hoto aap hume instagram pe massage kare aapko within a 24 hours me reply mil jayega. And Youtube pe bhi connect ho sakte hai.
IndianTorque pe aap Automobile se related Questions puch sakte he yaha sabhi information aapko HINGLISH me milti he. Jo ki aap day-to-day life me ya Whatsapp pe use karte he. Yaha pe aapko unbiased review, Comparison bhi milenge jisse ki aapko apne liye perfect Vehicle choose karne me aasani ho. To guys notification on kar lijiye IndianTorque.com ka taki koi bhi important news aap miss na kare.